wo apne ishq mein kaisa kamal rakhta hai
vo apne ishq meñ kaisā kamāl rakhtā hai
ki be-ruḳhī meñ bhī merā ḳhayāl rakhtā hai
jo aaj merā nahīñ hai vo kal mirā hogā
ki har zamāna urūj-o-zavāl rakhtā hai
ajab nahīñ vo jahāñ-bhar ko bevafā samjhe
nazar meñ merī vafā kī misāl rakhtā hai
kahāñ talak koī dast-e-karam ko zahmat de
tamām-shahr hī dast-e-savāl rakhtā hai
mirī uḌaan ke aage hai kis qadar bebas
ye āsmāñ jo sitāroñ kā jaal rakhtā hai
tirā ḳhayāl hī kuchh mehrbān hai varna
jahāñ maiñ kaun kisī kā ḳhayāl rakhtā hai
muqābil-e-saf-e-a.adā hai is tarah 'ḳhāvar'
ki teġh rakhtā hai vo aur na Dhaal rakhtā hai
wo apne ishq mein kaisa kamal rakhta hai
ki be-ruKHi mein bhi mera KHayal rakhta hai
jo aaj mera nahin hai wo kal mera hoga
ki har zamana uruj-o-zawal rakhta hai
ajab nahin wo jahan-bhar ko bewafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misal rakhta hai
kahan talak koi dast-e-karam ko zahmat de
tamam-shahr hi dast-e-sawal rakhta hai
meri uDan ke aage hai kis qadar bebas
ye aasman jo sitaron ka jal rakhta hai
tera KHayal hi kuchh mehrban hai warna
jahan main kaun kisi ka KHayal rakhta hai
muqabil-e-saf-e-ada hai is tarah 'KHawar'
ki tegh rakhta hai wo aur na Dhaal rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.