wo ban-sanwar ke sar-e-sham jab nikalte hain
vo ban-sañvar ke sar-e-shām jab nikalte haiñ
nazar nazar meñ hazāroñ charāġh jalte haiñ
vo apnī aag meñ roz-e-azal se jalte haiñ
ye faisle haiñ muqaddar ke kab badalte haiñ
tum apne gosha-e-dāmāñ ko phir qarīb karo
hamāre ashk-e-ravāñ motiyoñ meñ Dhalte haiñ
vahī to lā.eq-e-azmat haiñ bazm-e-hastī meñ
jo log girte haiñ gir gir ke phir sañbhalte haiñ
vo ham se tark-e-ta.alluq bhī kar chuke lekin
na jaane aaj bhī kyoñ log ham se jalte haiñ
patā bahār kī aamad kā aise chaltā hai
qafas kī aa ke vo jab tīliyāñ badalte haiñ
ġham-e-firāq ho 'hairat' ki gardish-e-daurāñ
na jaane kab se mire saath saath chalte haiñ
wo ban-sanwar ke sar-e-sham jab nikalte hain
nazar nazar mein hazaron charagh jalte hain
wo apni aag mein roz-e-azal se jalte hain
ye faisle hain muqaddar ke kab badalte hain
tum apne gosha-e-daman ko phir qarib karo
hamare ashk-e-rawan motiyon mein Dhalte hain
wahi to laeq-e-azmat hain bazm-e-hasti mein
jo log girte hain gir gir ke phir sanbhalte hain
wo hum se tark-e-talluq bhi kar chuke lekin
na jaane aaj bhi kyon log hum se jalte hain
pata bahaar ki aamad ka aise chalta hai
qafas ki aa ke wo jab tiliyan badalte hain
gham-e-firaq ho 'hairat' ki gardish-e-dauran
na jaane kab se mere sath sath chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.