Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo dil hai hech dard-e-mohabbat agar na ho

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

wo dil hai hech dard-e-mohabbat agar na ho

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    vo dil hai hech dard-e-mohabbat agar na ho

    kis kaam vo dard agar chashm tar na ho

    ka.aba ho ki dair ho vo kunisht ho

    vīrāñ vo ghar hai jis meñ ki terā guzar na ho

    fariyād nahīñ hai ye betābi-e-firāq

    mumkin nahīñ ki naale meñ mere asar na ho

    aate ho dil meñ tum mirī āñkhoñ raah se

    tadbīr ḳhuub hai ki kisī ko ḳhabar na ho

    mashġhūl-e-zikr chāhiye har dam rahe ye dil

    ik lamha us yaad se be-ḳhabar na ho

    chāhe zamāna 'shād' se rūThe nahīñ ḳhatar

    saarā jahāñ ho is adū magar na ho

    wo dil hai hech dard-e-mohabbat agar na ho

    kis kaam ka wo dard agar chashm tar na ho

    kaba ho ya ki dair ho wo ya kunisht ho

    viran wo ghar hai jis mein ki tera guzar na ho

    fariyaad hi nahin hai ye betabi-e-firaq

    mumkin nahin ki nale mein mere asar na ho

    aate ho dil mein tum meri aankhon ki rah se

    tadbir KHub hai ki kisi ko KHabar na ho

    mashghul-e-zikr chahiye har dam rahe ye dil

    ek lamha us ki yaad se tu be-KHabar na ho

    chahe zamana 'shad' se ruThe nahin KHatar

    sara jahan ho is ka adu tu magar na ho

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now