wo har tarah se hamein bewafa samajhte hain
vo har tarah se hameñ bevafā samajhte haiñ
ḳhudā hī jaane ki vo ham ko kyā samajhte haiñ
ham un ke dard kī gahrā.iyoñ meñ Duube haiñ
samajhne vaale hameñ jaane kyā samajhte haiñ
haiñ aisī kaun sī majbūriyāñ ḳhudā jaane
qarīb rah ke bhī ham ko judā samajhte haiñ
vo ab shikār ġhalat-fahmiyoñ kā haiñ shāyad
du'ā kareñ bhī to vo bad-du'ā samajhte haiñ
subūt chāhiye ab kyā vafā-parastī kā
vo zahr deñ to ham us ko davā samajhte haiñ
hamāre naam jo bhejā hai us ne ḳhat 'afsar'
ham apne dil kā use mudda'ā samajhte haiñ
wo har tarah se hamein bewafa samajhte hain
KHuda hi jaane ki wo hum ko kya samajhte hain
hum un ke dard ki gahraiyon mein Dube hain
samajhne wale hamein jaane kya samajhte hain
hain aisi kaun si majburiyan KHuda jaane
qarib rah ke bhi hum ko juda samajhte hain
wo ab shikar ghalat-fahmiyon ka hain shayad
du'a karen bhi to wo bad-du'a samajhte hain
subut chahiye ab kya wafa-parasti ka
wo zahr den to hum us ko dawa samajhte hain
hamare nam jo bheja hai us ne KHat 'afsar'
hum apne dil ka use mudda'a samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.