wo har tufan jo ham-aghosh-e-sahil hota jata hai
vo har tūfāñ jo ham-āġhosh-e-sāhil hotā jaatā hai
husūl-e-gauhar-e-tābāñ meñ haa.il hotā jaatā hai
mirā zauq-e-tajassus kāmgār o kāmrāñ hogā
darāz ab kis liye dāmān-e-sāhil hotā jaatā hai
jo uqda koshish-e-paiham se āsāñ kartā jaatā huuñ
vo uqda aur mushkil aur mushkil hotā jaatā hai
na jaane kis tarah kis vāste kis dil se piitā huuñ
zamāna hai ki sarf-e-vahm-e-bātil hotā jaatā hai
ḳhudā jaane mujhe vo dekhte haiñ kin adāoñ se
ki ġham āhista āhista mirā dil hotā jaatā hai
tire hoñToñ se saaqī jis qadar maiñ piitā jaatā huuñ
javānī kā mujhe ehsās-e-kāmil hotā jaatā hai
kahāñ tak shikva-e-be-mehrī-e-ahbāb ai hamdam
zamāna darpa.e-āzār-e-'bismil' hotā jaatā hai
wo har tufan jo ham-aghosh-e-sahil hota jata hai
husul-e-gauhar-e-taban mein hail hota jata hai
mera zauq-e-tajassus kaamgar o kaamran hoga
daraaz ab kis liye daman-e-sahil hota jata hai
jo uqda koshish-e-paiham se aasan karta jata hun
wo uqda aur mushkil aur mushkil hota jata hai
na jaane kis tarah kis waste kis dil se pita hun
zamana hai ki sarf-e-wahm-e-baatil hota jata hai
KHuda jaane mujhe wo dekhte hain kin adaon se
ki gham aahista aahista mera dil hota jata hai
tere honTon se saqi jis qadar main pita jata hun
jawani ka mujhe ehsas-e-kaamil hota jata hai
kahan tak shikwa-e-be-mehri-e-ahbab ai hamdam
zamana darpae-azar-e-'bismil' hota jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.