wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha
wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
vo jise ab tak samajhtā thā maiñ patthar, sāmne thā
ik pighaltī mom kā sayyāl paikar sāmne thā
maiñ ne chāhā aane vaale vaqt kā ik aks dekhūñ
be-karāñ hote hue lamhe kā manzar sāmne thā
apnī ik pahchān dī aa.ī ga.ī bātoñ meñ us ne
aaj vo apne ta.alluq se bhī baḌh kar sāmne thā
maiñ ye samjhā thā ki sargarm-e-safar hai koī taa.ir
jab rukī āñdhī to ik girtā huā par sāmne thā
maiñ ne kitnī baar chāhā ḳhud ko lā.ūñ rāste par
maiñ ne phir koshish bhī kī lekin muqaddar sāmne thā
sard jañgal kī siyāhī paaT kar nikle hī the ham
āḳhirī kirnoñ ko tah kartā samundar sāmne thā
TūTnā thā kuchh ajab qahr-e-safar pahle qadam par
muḌ ga.ī thī aañkh hañstā kheltā ghar sāmne thā
pusht par yāroñ kī paspā.ī kā nazzāra thā shāyad
dushmanoñ kā muskurātā ek lashkar sāmne thā
aañkh meñ utrā huā thā shaam kā pahlā sitārā
raat ḳhālī sar pe thī aur sard bistar sāmne thā
wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha
ek pighalti mom ka sayyal paikar samne tha
main ne chaha aane wale waqt ka ek aks dekhun
be-karan hote hue lamhe ka manzar samne tha
apni ek pahchan di aai gai baaton mein us ne
aaj wo apne talluq se bhi baDh kar samne tha
main ye samjha tha ki sargarm-e-safar hai koi tair
jab ruki aandhi to ek girta hua par samne tha
main ne kitni bar chaha KHud ko laun raste par
main ne phir koshish bhi ki lekin muqaddar samne tha
sard jangal ki siyahi paT kar nikle hi the hum
aaKHiri kirnon ko tah karta samundar samne tha
TuTna tha kuchh ajab qahr-e-safar pahle qadam par
muD gai thi aankh hansta khelta ghar samne tha
pusht par yaron ki paspai ka nazzara tha shayad
dushmanon ka muskuraata ek lashkar samne tha
aankh mein utra hua tha sham ka pahla sitara
raat KHali sar pe thi aur sard bistar samne tha
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.