wo kar raha hai wafaen magar jafa ki tarah
vo kar rahā hai vafā.eñ magar jafā kī tarah
ye ziist kaT to rahī hai magar sazā kī tarah
marīz-e-hijr-e-mohabbat samajh na paa.e ise
pilāo zahr pilāo magar davā kī tarah
darāz mere gunāhoñ kā silsila hai magar
tire karam ke muqābil huuñ be-ḳhatā kī tarah
sunī na paañv kī aahaT mirī samā.at ne
vo aa.e aa ke chale bhī ga.e havā kī tarah
har ek shaḳhs ke chehre pe ek chehra hai
ki aaj lagtā hai rahzan bhī rahnumā kī tarah
ye mere dil kī tamanna hai āḳhirī 'māhir'
tū mere saath rahe har qadam duā kī tarah
wo kar raha hai wafaen magar jafa ki tarah
ye zist kaT to rahi hai magar saza ki tarah
mariz-e-hijr-e-mohabbat samajh na pae ise
pilao zahr pilao magar dawa ki tarah
daraaz mere gunahon ka silsila hai magar
tere karam ke muqabil hun be-KHata ki tarah
suni na panw ki aahaT meri samaat ne
wo aae aa ke chale bhi gae hawa ki tarah
har ek shaKHs ke chehre pe ek chehra hai
ki aaj lagta hai rahzan bhi rahnuma ki tarah
ye mere dil ki tamanna hai aaKHiri 'mahir'
tu mere sath rahe har qadam dua ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.