wo marka jo hai nahin sar ho nahin raha
vo ma.arka jo hai nahīñ sar ho nahīñ rahā
ik be-fasīl shahr meñ dar ho nahīñ rahā
maiñ chāhtā huuñ terī mohabbat yatīm ho
par merī badduā meñ asar ho nahīñ rahā
us be-zamīr husn pe ik aur e.atibār
ho jaanā chāhiye thā magar ho nahīñ rahā
maiñ chhoḌne ke dar pe huuñ ye kār-e-ḳhud-kushī
maulā tū apne haath se kar ho nahīñ rahā
soyā nahīñ maiñ barsoñ talak jis ke ḳhauf se
vo ḳhvāb ab bhī āñkh-badar ho nahīñ rahā
baiThā hai paañv moḌ ke sāhil-fareb zehn
dil Dūbne lagā hai safar ho nahīñ rahā
wo marka jo hai nahin sar ho nahin raha
ek be-fasil shahr mein dar ho nahin raha
main chahta hun teri mohabbat yatim ho
par meri baddua mein asar ho nahin raha
us be-zamir husn pe ek aur eatibar
ho jaana chahiye tha magar ho nahin raha
main chhoDne ke dar pe hun ye kar-e-KHud-kushi
maula tu apne hath se kar ho nahin raha
soya nahin main barson talak jis ke KHauf se
wo KHwab ab bhi aankh-badar ho nahin raha
baiTha hai panw moD ke sahil-fareb zehn
dil Dubne laga hai safar ho nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.