wo rahe duniya mein ek dilkash nagine ki tarah
vo rahe duniyā meñ ik dilkash nagīne kī tarah
ham rahe bāhar makāñ se ek ziine kī tarah
dushmanī hotī hai aksar dostoñ ke darmiyāñ
ye bhī ik rishta hai tūfāñ aur safīne kī tarah
kyoñ kaho us aadmī ko tum za.īf-o-nā-tavāñ
ḳhūn-e-dil jis ne bahāyā ho pasīne kī tarah
kyā kashish paa.ī hai tere husn-e-ālam-soz ne
tū nazar aatā hai zevar meñ nagīne kī tarah
jab kahīñ aaya hai gulshan meñ bahāroñ par nikhār
ḳhuun jab ham ne bahāyā hai pasīne kī tarah
kaifiyat shām-e-judā.ī kī na pūchh ai ham-nashīñ
ek pal birhan ko lagtā hai mahīne kī tarah
qādir-e-mutlaq kī ho 'lāġhar' agar chashm-e-karam
tairte dekhe haiñ patthar bhī safīne kī tarah
wo rahe duniya mein ek dilkash nagine ki tarah
hum rahe bahar makan se ek zine ki tarah
dushmani hoti hai aksar doston ke darmiyan
ye bhi ek rishta hai tufan aur safine ki tarah
kyon kaho us aadmi ko tum zaif-o-na-tawan
KHun-e-dil jis ne bahaya ho pasine ki tarah
kya kashish pai hai tere husn-e-alam-soz ne
tu nazar aata hai zewar mein nagine ki tarah
jab kahin aaya hai gulshan mein bahaaron par nikhaar
KHun jab hum ne bahaya hai pasine ki tarah
kaifiyat sham-e-judai ki na puchh ai ham-nashin
ek pal birhan ko lagta hai mahine ki tarah
qadir-e-mutlaq ki ho 'laghar' agar chashm-e-karam
tairte dekhe hain patthar bhi safine ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.