Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai

Tanveer Ahmad Alvi

wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai

Tanveer Ahmad Alvi

MORE BYTanveer Ahmad Alvi

    vo raqs kahāñ aur vo tab-o-tāb kahāñ hai

    vo sajda-e-shauq aur vo mehrāb kahāñ hai

    hai ābla-pā.ī tirā naqsh-e-kaf-e-pā

    sahrā-e-laq-o-daq hai yahāñ aab kahāñ hai

    aurāq-e-dil-o-jāñ meñ haiñ kuchh daaġh baaqī

    vo ishq-o-aqīdat hasīñ baab kahāñ hai

    ik ashk-e-nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ hai

    palkoñ pe sajāyā huā vo ḳhvāb kahāñ hai

    ab durd-e-tah-e-jām hai tishna-labī hai

    sahbā vo kahāñ sāġhar-e-mahtāb kahāñ hai

    kyā TuuT ga.e aap shabnam ke vo dhāge

    vo pyaar resham dil-e-betāb kahāñ hai

    'tanvīr' rah-e-zīst meñ tanhā ye safar kyuuñ

    vo lutf kahāñ pursish-e-ahbāb kahāñ hai

    wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai

    wo sajda-e-shauq aur wo mehrab kahan hai

    hai aabla-pai hi tera naqsh-e-kaf-e-pa

    sahra-e-laq-o-daq hai yahan aab kahan hai

    auraq-e-dil-o-jaan mein hain kuchh dagh hi baqi

    wo ishq-o-aqidat ka hasin bab kahan hai

    ek ashk-e-nadamat ke siwa kuchh bhi nahin hai

    palkon pe sajaya hua wo KHwab kahan hai

    ab durd-e-tah-e-jam hai ya tishna-labi hai

    sahba wo kahan saghar-e-mahtab kahan hai

    kya TuT gae aap hi shabnam ke wo dhage

    wo pyar ka resham dil-e-betab kahan hai

    'tanwir' rah-e-zist mein tanha ye safar kyun

    wo lutf kahan pursish-e-ahbab kahan hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now