wo the apne to har ek daur tha ho kar apna
vo the apne to har ik daur thā ho kar apnā
ab na taqdīr na qismat na muqaddar apnā
mai-kada apnā hai mai apnī hai sāġhar apnā
ye alag baat ki haq hai na kisī par apnā
kabhī girdāb thā mauj apnī thī gauhar apnā
ab nadī apnī na dariyā na samundar apnā
boriyā rahtā salāmat na to bistar apnā
vo to ye kahiye ki takiya thā ḳhudā par apnā
na sukūñ bhiiḌ meñ dil ko na akele meñ qarār
kyā ḳhabar chāhtā kyā hai dil-e-muztar apnā
kyoñ taḌap uThte na logoñ ke taḌap uThne par
vaqt ke dil kī tarah dil nahīñ patthar apnā
aap kā husn salāmat hai ḳhud ā.īna ḳharāb
aap sharminda na hoñ dekh ke manzar apnā
vaqt kartā rahā tadbīr barābar apnī
kaam kartī rahī taqdīr barābar apnā
surḳh-rū kyoñ na gulistāñ nazar aa.egā 'nasīb'
jazb hai ḳhuun har ik phuul ke andar apnā
wo the apne to har ek daur tha ho kar apna
ab na taqdir na qismat na muqaddar apna
mai-kada apna hai mai apni hai saghar apna
ye alag baat ki haq hai na kisi par apna
kabhi girdab tha mauj apni thi gauhar apna
ab nadi apni na dariya na samundar apna
boriya rahta salamat na to bistar apna
wo to ye kahiye ki takiya tha KHuda par apna
na sukun bhiD mein dil ko na akele mein qarar
kya KHabar chahta kya hai dil-e-muztar apna
kyon taDap uThte na logon ke taDap uThne par
waqt ke dil ki tarah dil nahin patthar apna
aap ka husn salamat hai KHud aaina KHarab
aap sharminda na hon dekh ke manzar apna
waqt karta raha tadbir barabar apni
kaam karti rahi taqdir barabar apna
surKH-ru kyon na gulistan nazar aaega 'nasib'
jazb hai KHun har ek phul ke andar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.