yaad-e-yaran ko kaf-e-dil mein chubhote hue hum
yād-e-yārāñ ko kaf-e-dil meñ chubhote hue ham
ghar ke kone meñ paḌe rahte haiñ rote hue ham
nīm-shab aur ye aañsū haiñ ki rukte hī nahīñ
haa.e pardes meñ takiyoñ ko bhigote hue ham
har na.ī sub.h se ummīd-e-pazīrā.ī liye
chādar-e-ḳhāk ke parde meñ samote hue ham
raat us bazm meñ ik tū hī shanāsā thā magar
kitne tanhā nazar aa.e tire hote hue ham
mar hī jā.eñge tirī yaad meñ yūñhī kisī roz
dukh ke āñchal meñ kahīñ she'r pirote hue ham
sarsarāhaT sī kahīñ zulf-e-girah-gīr meñ thī
Dar ga.e aaj tire saa.e meñ sote hue ham
yaad-e-yaran ko kaf-e-dil mein chubhote hue hum
ghar ke kone mein paDe rahte hain rote hue hum
nim-shab aur ye aansu hain ki rukte hi nahin
hae pardes mein takiyon ko bhigote hue hum
har nai subh se ummid-e-pazirai liye
chadar-e-KHak ke parde mein samote hue hum
raat us bazm mein ek tu hi shanasa tha magar
kitne tanha nazar aae tere hote hue hum
mar hi jaenge teri yaad mein yunhi kisi roz
dukh ke aanchal mein kahin she'r pirote hue hum
sarsarahaT si kahin zulf-e-girah-gir mein thi
Dar gae aaj tere sae mein sote hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.