yaro nahin mara kisi jallad ne mujhko
yaaro nahīñ maarā kisī jallād ne mujh ko
hai qatl kiyā us sitam-ījād ne mujh ko
āñkhoñ se lahū rone lagā pheñk ke nashtar
dekhā jūhīñ is rang se fassād ne mujh ko
nāseh tū na bak maġhz na khā juz sabaq-e-ishq
kuchh aur paḌhāyā nahīñ ustād ne mujh ko
thak jaa.e tirā halq mirī niiñd ga.ī dil
bechain kiyā kyā tirī fariyād ne mujh ko
hai jaam kahāñ shīsha kidhar kis kī mai-e-nāb
un sab ko bhulāyā hai tirī yaad ne mujh ko
kis chain se kaTtī thī mirī kunj-e-qafas meñ
āzād kiyā kaahe ko sayyād ne mujh ko
afsos mirī jaan bhī kyā khovegā ab ye
rusvā to kiyā is dil-e-nāshād ne mujh ko
yaro nahin mara kisi jallad ne mujh ko
hai qatl kiya us sitam-ijad ne mujh ko
aankhon se lahu rone laga phenk ke nashtar
dekha juhin is rang se fassad ne mujh ko
naseh tu na bak maghz na kha juz sabaq-e-ishq
kuchh aur paDhaya nahin ustad ne mujh ko
thak jae tera halq meri nind gai dil
bechain kiya kya teri fariyaad ne mujh ko
hai jam kahan shisha kidhar kis ki mai-e-nab
un sab ko bhulaya hai teri yaad ne mujh ko
kis chain se kaTti thi meri kunj-e-qafas mein
aazad kiya kahe ko sayyaad ne mujh ko
afsos meri jaan bhi kya khowega ab ye
ruswa to kiya is dil-e-nashad ne mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.