ye ahl-e-hawas har gam pe apni shan badalte rahte hain
ye ahl-e-hawas har gam pe apni shan badalte rahte hain
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
ye ahl-e-havas har gaam pe apnī shaan badalte rahte haiñ
mausam ke mutābiq 'ishrat kā sāmān badalte rahte haiñ
insāf kī gardan par ḳhanjar chaltā hai daulat-mandoñ kā
be-dard zamāne ke tevar har aan badalte rahte haiñ
muḳhtār kahīñ majbūr kahīñ zardār kahīñ nādār kahīñ
is tarh kitāb-e-hastī ke 'unvān badalte rahte haiñ
ai duniyā vaalo jhuuT nahīñ ye duniyā hai aur duniyā meñ
chāñdī ke chamakte sikkoñ par īmān badalte rahte haiñ
jis roz se ḳhitta-e-duniyā par insān kī shāhī qaa.em hai
qānūn badaltā rahtā hai farmān badalte rahte haiñ
afsos dar-e-munsif se bhī insāf kī bhiik nahīñ miltī
kahne ke liye har roz na.e darbān badalte rahte haiñ
muusā kī zarūrat hai yā-rab fir’aunoñ kī is bastī meñ
ḳhūñḳhār darindoñ kī sūrat insān badalte rahte haiñ
aadam ke sapūtoñ kī ab tak raftār vahī hai duniyā meñ
har gaam pe lekin chaal apnī shaitān badalte rahte haiñ
ye ahl-e-hawas har gam pe apni shan badalte rahte hain
mausam ke mutabiq 'ishrat ka saman badalte rahte hain
insaf ki gardan par KHanjar chalta hai daulat-mandon ka
be-dard zamane ke tewar har aan badalte rahte hain
muKHtar kahin majbur kahin zardar kahin nadar kahin
is tarh kitab-e-hasti ke 'unwan badalte rahte hain
ai duniya walo jhuT nahin ye duniya hai aur duniya mein
chandi ke chamakte sikkon par iman badalte rahte hain
jis roz se KHitta-e-duniya par insan ki shahi qaem hai
qanun badalta rahta hai farman badalte rahte hain
afsos dar-e-munsif se bhi insaf ki bhik nahin milti
kahne ke liye har roz nae darban badalte rahte hain
musa ki zarurat hai ya-rab fir’aunon ki is basti mein
KHunKHar darindon ki surat insan badalte rahte hain
aadam ke saputon ki ab tak raftar wahi hai duniya mein
har gam pe lekin chaal apni shaitan badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.