ye bura dost hai har ek ko achchha na samajh
ye burā dost hai har ek ko achchhā na samajh
aaj bin parkhe tū apnoñ ko bhī apnā na samajh
log aksar usī andāz pe khāte haiñ fareb
muskurāhaT ko mohabbat kā ishāra na samajh
ham ne sāhil se bhī uThte hue tūfāñ dekhe
tū kināre ko bhī mahfūz kinārā na samajh
maiñ ne jo kuchh bhī diyā hai use lauTā na mujhe
farz ko farz hī rahne de udhārā na samajh
farz insān kā insān ke kaam aanā hai
ġhair ke dard-o-alam ko bhī parāyā na samajh
qadr maiñ husn kī kartā huuñ magar yaad rahe
mere aḳhlāq ko tū husn kā maarā na samajh
hai abhī to tirā hamdard-o-bahī-ḳhvāh 'shafaq'
ḳhud ko tū itnā bhī majbūr-o-akelā na samajh
ye bura dost hai har ek ko achchha na samajh
aaj bin parkhe tu apnon ko bhi apna na samajh
log aksar usi andaz pe khate hain fareb
muskurahaT ko mohabbat ka ishaara na samajh
hum ne sahil se bhi uThte hue tufan dekhe
tu kinare ko bhi mahfuz kinara na samajh
main ne jo kuchh bhi diya hai use lauTa na mujhe
farz ko farz hi rahne de udhaara na samajh
farz insan ka insan ke kaam aana hai
ghair ke dard-o-alam ko bhi paraya na samajh
qadr main husn ki karta hun magar yaad rahe
mere aKHlaq ko tu husn ka mara na samajh
hai abhi to tera hamdard-o-bahi-KHwah 'shafaq'
KHud ko tu itna bhi majbur-o-akela na samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.