ye kaun is darja aatishin rakh-rakhaw mein hai
ye kaun is darja ātishīñ rakh-rakhāv meñ hai
ye kis kā chehra hai jo dahakte alaav meñ hai
sadā-e-kun is ke baa'd shāyad kabhī na aa.e
hamārī taḳhlīq apne antim paḌāv meñ hai
ise Thaharne kā hukm de kar ḳharāb mat kar
nadī kā saarā vajūd us ke bahāo meñ hai
ye bint-e-hairat vo be-niyāzī kā devtā hai
mileñge kyā jab tazād itnā subhāv meñ hai
chanāb-e-ġhaiz-o-ġhazab bas itnā ḳhayāl rakhnā
hamārī kul-kā.enāt is TuuTī naav meñ hai
jo be-tarah kī ghaTā ruke to ham āñkheñ dekheñ
abhī ye niilā gulāb ik jal-bharāv meñ hai
ye kaun is darja aatishin rakh-rakhaw mein hai
ye kis ka chehra hai jo dahakte alaw mein hai
sada-e-kun is ke ba'd shayad kabhi na aae
hamari taKHliq apne antim paDaw mein hai
ise Thaharne ka hukm de kar KHarab mat kar
nadi ka sara wajud us ke bahao mein hai
ye bint-e-hairat wo be-niyazi ka dewta hai
milenge kya jab tazad itna subhaw mein hai
chanab-e-ghaiz-o-ghazab bas itna KHayal rakhna
hamari kul-kaenat is TuTi naw mein hai
jo be-tarah ki ghaTa ruke to hum aankhen dekhen
abhi ye nila gulab ek jal-bharaw mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.