ye kis ne jalwa dikha ke aankhon mein kar liya hai maqam apna
ye kis ne jalwa dikha ke aankhon mein kar liya hai maqam apna
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
ye kis ne jalva dikhā ke āñkhoñ meñ kar liyā hai maqām apnā
ye kis ko apnā banā ke barham kiyā hai dil ne nizām apnā
ye kis kī bātoñ meñ aa ke ham ne kiyā hai badnām naam apnā
ki aaj tak āgahī se aajiz hai jazba-e-nā-tamām apnā
agar tamannā-e-be-ḳhudī kī zabāñ se sun leñ payām apnā
to āriz-e-husn se ulaT deñ naqāb vo lā-kalām apnā
nigāh-e-sāqī se kah rahā huuñ sazā tavajjoh kī sah rahā huuñ
sharāb-e-rahmat ke daur meñ bhī karam se ḳhālī hai jaam apnā
jahāñ meñ haiñ ḳhush-nasīb aksar hai jin pe lutf-e-nazar sarāsar
agar muqābil huuñ kyā ajab hai mujhe bhī kar leñ ġhulām apnā
nishāna-e-husn ho rahā hai firāq meñ umr kho rahā hai
nazar se fursat mile to dil bhī kare koī intizām apnā
hai manzar-e-bazm 'shād' o rāhat ba-qalb-e-masrūr ain ne.amat
mazāq-e-sher-o-suḳhan hai ahl-e-adab meñ hai ehtirām apnā
ye kis ne jalwa dikha ke aankhon mein kar liya hai maqam apna
ye kis ko apna bana ke barham kiya hai dil ne nizam apna
ye kis ki baaton mein aa ke hum ne kiya hai badnam nam apna
ki aaj tak aagahi se aajiz hai jazba-e-na-tamam apna
agar tamanna-e-be-KHudi ki zaban se sun len payam apna
to aariz-e-husn se ulaT den naqab wo la-kalam apna
nigah-e-saqi se kah raha hun saza tawajjoh ki sah raha hun
sharab-e-rahmat ke daur mein bhi karam se KHali hai jam apna
jahan mein hain KHush-nasib aksar hai jin pe lutf-e-nazar sarasar
agar muqabil hun kya ajab hai mujhe bhi kar len ghulam apna
nishana-e-husn ho raha hai firaq mein umr kho raha hai
nazar se fursat mile to dil bhi kare koi intizam apna
hai manzar-e-bazm 'shad' o rahat ba-qalb-e-masrur ain neamat
mazaq-e-sher-o-suKHan hai ahl-e-adab mein hai ehtiram apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.