ye na-sipasi-e-gulchin jhalak nahin rahi hai
ye nā-sipāsī-e-gulchīñ jhalak nahīñ rahī hai
sabā ke bhes meñ sarsar thirak nahīñ rahī hai
fazā meñ raqsāñ hai nā-āshnā-e-mahz havā
jabhī to shāḳh-e-mohabbat lachak nahīñ rahī hai
hazār ġhaltāñ-o-pechāñ hoñ ab parindoñ meñ
vo tinke joḌne vaalī lalak nahīñ rahī hai
hai saaf saaf ye aurāq-e-gul pe likkhā huā
ghaḌī ḳhizāñ kī zarā bhī sarak nahīñ rahī hai
ga.ī rutoñ ke havāloñ se gul khilātā hai
use ḳhud apnī zalālat khaTak nahīñ rahī hai
fishār-e-gard se manzar tamām aTā huā hai
chaman-parast nazar phir bhī thak nahīñ rahī hai
mirā bhī dhuup meñ ab sar Tanakne lagtā hai
kamar pe us ke bhī choTī laTak nahīñ rahī hai
ulajh ke rah ga.ī tār-e-nafas meñ hasrat-e-dil
bharī hai aañkh palak tak jhapak nahīñ rahī hai
halāl kar gayā har aarzū vo jaate hue
ġham-e-firāq meñ lazzat talak nahīñ rahī hai
ḳhudā kare ki vo ḳhush-hāl-o-'sarfarāz' rahe
kasak ba-nām bhī dil meñ kasak nahīñ rahī hai
ye na-sipasi-e-gulchin jhalak nahin rahi hai
saba ke bhes mein sarsar thirak nahin rahi hai
faza mein raqsan hai na-ashna-e-mahz hawa
jabhi to shaKH-e-mohabbat lachak nahin rahi hai
hazar ghaltan-o-pechan hon ab parindon mein
wo tinke joDne wali lalak nahin rahi hai
hai saf saf ye auraq-e-gul pe likkha hua
ghaDi KHizan ki zara bhi sarak nahin rahi hai
gai ruton ke hawalon se gul khilata hai
use KHud apni zalalat khaTak nahin rahi hai
fishaar-e-gard se manzar tamam aTa hua hai
chaman-parast nazar phir bhi thak nahin rahi hai
mera bhi dhup mein ab sar Tanakne lagta hai
kamar pe us ke bhi choTi laTak nahin rahi hai
ulajh ke rah gai tar-e-nafas mein hasrat-e-dil
bhari hai aankh palak tak jhapak nahin rahi hai
halal kar gaya har aarzu wo jate hue
gham-e-firaq mein lazzat talak nahin rahi hai
KHuda kare ki wo KHush-haal-o-'sarfaraaz' rahe
kasak ba-nam bhi dil mein kasak nahin rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.