yun gardish-e-dauran mein kuchh ahbab mile hain
Interesting Fact
(This ghazal was written for her friend Abida)
yuuñ gardish-e-daurāñ meñ kuchh ahbāb mile haiñ
jaise shab-e-tārīk meñ mahtāb mile haiñ
yādoñ ke ka.ī naqsh haiñ bikhre hue dil meñ
un yādoñ ke ambār se kuchh ḳhvāb mile haiñ
pahne hue rahtī huuñ tirī yādoñ ke gahne
in gahnoñ meñ kuchh gauhar-e-nāyāb mile haiñ
is dil kā tirī ruuh se rishta hai koī to
mujh ko tirī āñkhoñ meñ jo girdāb mile haiñ
raushan haiñ yahāñ terī jahāñ-dīda nigāheñ
yuuñ ham bhī tirī fikr se sairāb mile haiñ
ghabrānā nahīñ tū ne kabhī ranj-e-safar se
dil tere liye kitne hī betāb mile haiñ
hai merī sakhī ābida terī mere maulā
jis ke liye jannat ke ka.ī baab khule haiñ
'zahrā' ye faqat us kī duāoñ kā samar hai
kuchh log jo ham ko sar-e-mehrāb mile haiñ
yun gardish-e-dauran mein kuchh ahbab mile hain
jaise shab-e-tarik mein mahtab mile hain
yaadon ke kai naqsh hain bikhre hue dil mein
un yaadon ke ambar se kuchh KHwab mile hain
pahne hue rahti hun teri yaadon ke gahne
in gahnon mein kuchh gauhar-e-nayab mile hain
is dil ka teri ruh se rishta hai koi to
mujh ko teri aankhon mein jo girdab mile hain
raushan hain yahan teri jahan-dida nigahen
yun hum bhi teri fikr se sairab mile hain
ghabrana nahin tu ne kabhi ranj-e-safar se
dil tere liye kitne hi betab mile hain
hai meri sakhi aabida teri mere maula
jis ke liye jannat ke kai bab khule hain
'zahra' ye faqat us ki duaon ka samar hai
kuchh log jo hum ko sar-e-mehrab mile hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.