yun sang-dil hayat se ahd-o-wafa kiya
yuuñ sañg-dil hayāt se ahd-o-vafā kiyā
dīvār darmiyāñ thī magar ḳhud ko vā kiyā
miTTī kā rañg-o-nūr se rishta qadīm thā
har baar zindagī ne nayā tajraba kiyā
the dastaras meñ yuuñ to sab asrār-e-kā.enāt
is umr-e-bevafā ne magar nā-rasā kiyā
har ajnabī maqām se tanhā guzar ga.e
apnā hī naqsh-e-pā thā jise rahnumā kiyā
chamkā diyā lahū ne dil-e-tīra-jism ko
ik sail-e-nūr thā ki ragoñ meñ bahā kiyā
dānista luT gayā ye saman-zār dekhnā
phūloñ ne nik.hatoñ ko sipurd-e-sabā kiyā
ye raat raushnī kī tamannā meñ bujh ga.ī
dil ko ye kis shikast ne be-mudda.ā kiyā
yuuñ to jahāñ tamām hai tūfān-e-rañg-o-nūr
kis ābshār ne hameñ rañgīñ-navā kiyā
yun sang-dil hayat se ahd-o-wafa kiya
diwar darmiyan thi magar KHud ko wa kiya
miTTi ka rang-o-nur se rishta qadim tha
har bar zindagi ne naya tajraba kiya
the dastaras mein yun to sab asrar-e-kaenat
is umr-e-bewafa ne magar na-rasa kiya
har ajnabi maqam se tanha guzar gae
apna hi naqsh-e-pa tha jise rahnuma kiya
chamka diya lahu ne dil-e-tira-jism ko
ek sail-e-nur tha ki ragon mein baha kiya
danista luT gaya ye saman-zar dekhna
phulon ne nikhaton ko sipurd-e-saba kiya
ye raat raushni ki tamanna mein bujh gai
dil ko ye kis shikast ne be-muddaa kiya
yun to jahan tamam hai tufan-e-rang-o-nur
kis aabshaar ne hamein rangin-nawa kiya
- Book : Namuu kii aaG (Pg. 65)
- Author : Akbar Hayderabadi
- Publication : Sima Publications, New Delhi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.