zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak
zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
zabt-e-fuġhāñ se aa ga.ī hoñToñ pe jaañ talak
dekhoge mere sabr kī tāqat kahāñ talak
ġhaflat-shi.ār haa.e taġhāful kahāñ talak
jiitā rahegā kaun tire imtihāñ talak
vā'iz kā rabt-zabt chhupā.ūñ kahāñ talak
tauba kī baat pahuñchī hai pīr-e-muġhāñ talak
vo merī aarzū thī jo ghuT ghuT ke rah ga.ī
vo dil kī baat thī jo na aa.ī zabāñ talak
josh-e-junūñ se dāman-e-gardūñ bhī chaak hai
pahoñche zamīn ke haath magar āsmāñ talak
DhūñDoge phir bhī mashq-e-sitam ke liye mujhe
dushman jafā sahegā tumhārī kahāñ talak
gulshan meñ aage tum to 'ajab haal kar ga.e
bhūle hue haiñ murġh-e-chaman āshiyāñ talak
pāmāl kar ke ḳhaak uḌāne se fā.eda
aise chalo ki merā miTā do nishāñ talak
yaad aa.e chhuT ke daam se sayyād ke karam
pahuñchā do koī mujh ko mire mehrbāñ talak
kahtā hai kaun marg ijāzat-talab nahīñ
yaañ dam rukā huā hai faqat terī haañ talak
dil garmī-e-raqīb se jal-bhun ke rah gayā
aur merā zabt dekh na uTThā dhuāñ talak
'sho.ala' ke baa'd ḳhatm hai ījād-e-tarz-e-nau
kuchh lutf thā suḳhan kā usī ḳhush-bayāñ talak
zabt-e-fughan se aa gai honTon pe jaan talak
dekhoge mere sabr ki taqat kahan talak
ghaflat-shiar hae taghaful kahan talak
jita rahega kaun tere imtihan talak
wa'iz ka rabt-zabt chhupaun kahan talak
tauba ki baat pahunchi hai pir-e-mughan talak
wo meri aarzu thi jo ghuT ghuT ke rah gai
wo dil ki baat thi jo na aai zaban talak
josh-e-junun se daman-e-gardun bhi chaak hai
pahonche zamin ke hath magar aasman talak
DhunDoge phir bhi mashq-e-sitam ke liye mujhe
dushman jafa sahega tumhaari kahan talak
gulshan mein aage tum to 'ajab haal kar gae
bhule hue hain murgh-e-chaman aashiyan talak
pamal kar ke KHak uDane se faeda
aise chalo ki mera miTa do nishan talak
yaad aae chhuT ke dam se sayyaad ke karam
pahuncha do koi mujh ko mere mehrban talak
kahta hai kaun marg ijazat-talab nahin
yan dam ruka hua hai faqat teri han talak
dil garmi-e-raqib se jal-bhun ke rah gaya
aur mera zabt dekh na uTTha dhuan talak
'shoala' ke ba'd KHatm hai ijad-e-tarz-e-nau
kuchh lutf tha suKHan ka usi KHush-bayan talak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.