zahe wahshat ki huzn-e-duri-e-manzil pasand aaya
zahe vahshat kī huzn-e-dūrī-e-manzil pasand aaya
dil-e-īzā-talab ko uqda-e-mushkil pasand aaya
mire husn-e-nazar kī sharh hotī hai zamāne meñ
ki har ahl-e-tabī.at ko mirā qātil pasand aaya
guhar-yābī kī ik tamhīd ho kar rah gayā tūfāñ
mujhe jab se firāq-e-ishrat-e-sāhil pasand aaya
ba-hangām-e-tajassus zindagī se pyaar kyā ma.anī
vo insāñ kyā jise naqsh-e-sar-e-manzil pasand aaya
chale aa.e harīm-e-nāz se vo kho.e kho.e se
jazāk-allāh unheñ iḳhfā-e-hāl-e-dil pasand aaya
hijāb aaya to har jānib fazā badlī huī dekhī
naqāb ulTī to rang-e-shorish-e-mahfil pasand aaya
kabhī ā.īn-e-ġham-ḳhvārī-e-dil marġhūb hai ham ko
kabhī tarz-e-sitam-ījādī-e-qātil pasand aaya
ḳhudā lagtī kaho lillāh sadāqat ko na jhuTlāo
tumheñ afsāna-e-betābi-e-'bismil' pasand aaya
zahe wahshat ki huzn-e-duri-e-manzil pasand aaya
dil-e-iza-talab ko uqda-e-mushkil pasand aaya
mere husn-e-nazar ki sharh hoti hai zamane mein
ki har ahl-e-tabiat ko mera qatil pasand aaya
guhar-yabi ki ek tamhid ho kar rah gaya tufan
mujhe jab se firaq-e-ishrat-e-sahil pasand aaya
ba-hangam-e-tajassus zindagi se pyar kya mani
wo insan kya jise naqsh-e-sar-e-manzil pasand aaya
chale aae harim-e-naz se wo khoe khoe se
jazak-allah unhen iKHfa-e-haal-e-dil pasand aaya
hijab aaya to har jaanib faza badli hui dekhi
naqab ulTi to rang-e-shorish-e-mahfil pasand aaya
kabhi aain-e-gham-KHwari-e-dil marghub hai hum ko
kabhi tarz-e-sitam-ijadi-e-qatil pasand aaya
KHuda lagti kaho lillah sadaqat ko na jhuTlao
tumhein afsana-e-betabi-e-'bismil' pasand aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.