zauq-e-nazar hudud baDhane mein rah gaya
zauq-e-nazar hudūd baḌhāne meñ rah gayā
nādān dil havas ke miTāne meñ rah gayā
kaise baseñgī ahl-e-vafā dil kī bastiyāñ
tū to jahāñ kā dard uThāne meñ rah gayā
shoḳhī-e-iltifāt bhī hogī isī se kal
rabt-e-nihāñ jo aaj baḌhāne meñ rah gayā
shāyad azal se ishq kī qismat meñ thā jabhī
duniyā ke sard-o-garm uThāne meñ rah gayā
ehsās-e-ishq se vahī mahrūm ho gayā
dil se kisī kī yaad bhulāne meñ rah gayā
kaif-e-fanā se kuchh hai vahī rāz-āshnā
vo jo charāġh dil kā bujhāne meñ rah gayā
jān-e-nashāt aur ḳhizāñ-dīda bhī vahī
jo shoḳhī-e-bahār uḌāne meñ rah gayā
vo fitna-hā-e-hashr mirā muntazir kahāñ
maiñ to kisī ke naaz uThāne meñ rah gayā
samjhā na zarf-e-dil ko na dekhā hī tuur ko
bas apnī dhun se barq girāne meñ rah gayā
vo bad-gumān-e-ishq rahā bazm-e-nāz meñ
dar-parda kuchh fareb sā khāne meñ rah gayā
'dīvān' mehr-o-māh kisī kī hai gard-e-rāh
koī galī kī ḳhaak uḌāne meñ rah gayā
zauq-e-nazar hudud baDhane mein rah gaya
nadan dil hawas ke miTane mein rah gaya
kaise basengi ahl-e-wafa dil ki bastiyan
tu to jahan ka dard uThane mein rah gaya
shoKHi-e-iltifat bhi hogi isi se kal
rabt-e-nihan jo aaj baDhane mein rah gaya
shayad azal se ishq ki qismat mein tha jabhi
duniya ke sard-o-garm uThane mein rah gaya
ehsas-e-ishq se wahi mahrum ho gaya
dil se kisi ki yaad bhulane mein rah gaya
kaif-e-fana se kuchh hai wahi raaz-ashna
wo jo charagh dil ka bujhane mein rah gaya
jaan-e-nashat aur KHizan-dida bhi wahi
jo shoKHi-e-bahaar uDane mein rah gaya
wo fitna-ha-e-hashr mera muntazir kahan
main to kisi ke naz uThane mein rah gaya
samjha na zarf-e-dil ko na dekha hi tur ko
bas apni dhun se barq girane mein rah gaya
wo bad-guman-e-ishq raha bazm-e-naz mein
dar-parda kuchh fareb sa khane mein rah gaya
'diwan' mehr-o-mah kisi ki hai gard-e-rah
koi gali ki KHak uDane mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.