zikr mera kahan nahin hota
zikr merā kahāñ nahīñ hotā
vo jahāñ haiñ vahāñ nahīñ hotā
dil ke sho.ale to bujh ga.e dil meñ
shahr-e-ġham meñ dhuāñ nahīñ hotā
harf ik rāz-e-ġham hai chhoTā sā
vo bhī dil meñ nihāñ nahīñ hotā
miim ke sar pe ain ik nuqta
ye bhī nukta bayāñ nahīñ hotā
aaj mahfil meñ chup vo baiThe haiñ
varna kyā kyā bayāñ nahīñ hotā
dostī ho ga.ī havādis se
jab koī mehrbāñ nahīñ hotā
dasht apne liye nasheman hai
raas jab gulsitāñ nahīñ hotā
din meñ aa.eñ vo kaise mere ghar
raah meñ kahkashāñ nahīñ hotā
rāh-e-ulfat se baaz aa 'dīvān'
is meñ manzil-nishāñ nahīñ hotā
zikr mera kahan nahin hota
wo jahan hain wahan nahin hota
dil ke shoale to bujh gae dil mein
shahr-e-gham mein dhuan nahin hota
harf ek raaz-e-gham hai chhoTa sa
wo bhi dil mein nihan nahin hota
mim ke sar pe ain ek nuqta
ye bhi nukta bayan nahin hota
aaj mahfil mein chup wo baiThe hain
warna kya kya bayan nahin hota
dosti ho gai hawadis se
jab koi mehrban nahin hota
dasht apne liye nasheman hai
ras jab gulsitan nahin hota
din mein aaen wo kaise mere ghar
rah mein kahkashan nahin hota
rah-e-ulfat se baz aa 'diwan'
is mein manzil-nishan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.