Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna

Musavvir Sabzwari

ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    ziyāñ hai jaan ye kārobār mat karnā

    sabā se saa.e se ḳhushbū se pyaar mat karnā

    hameñ vahāñ ke bagūle bane jo kahte the

    tavāf-e-kūcha-e-shahr-e-nigār mat karnā

    maiñ Dhaltī dhuup lau huuñ mirā bharosa kyā

    nigāh-e-shām mirā intizār mat karnā

    na ḳhud tumhīñ pe kuchh ilzām-e-vaqt aa jaa.e

    hamārā shikva-e-sabr-o-qarār mat karnā

    ye sach hai ishq sābit-qadam nahīñ merā

    maiñ kah rahā huuñ mirā e'tibār mat karnā

    abhī hai kū-ba-kū phirnā tujhe 'musavvir' abhī

    umīd-e-sāya-e-dīvār-e-yār mat karnā

    ziyan hai jaan ka ye karobar mat karna

    saba se sae se KHushbu se pyar mat karna

    hamein wahan ke bagule bane jo kahte the

    tawaf-e-kucha-e-shahr-e-nigar mat karna

    main Dhalti dhup ki lau hun mera bharosa kya

    nigah-e-sham mera intizar mat karna

    na KHud tumhin pe kuchh ilzam-e-waqt aa jae

    hamara shikwa-e-sabr-o-qarar mat karna

    ye sach hai ishq hi sabit-qadam nahin mera

    main kah raha hun mera e'tibar mat karna

    abhi hai ku-ba-ku phirna tujhe 'musawwir' abhi

    umid-e-saya-e-diwar-e-yar mat karna

    Source :
    • Book : Manghii dhire chal (Pg. 17)
    • Author : Musavvir Sabzwari
    • Publication : Nazish Book Center (1971)
    • Edition : 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now