zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad
Interesting Fact
(Tarahi Mushaira Bazm-e-Jivan)
zulf-e-daurāñ hai kahāñ sāya-fagan mere ba.ad
muntazir der se haiñ dār-o-rasan mere ba.ad
kis ko dil-bastagi-e-ġham kā salīqa sauñpūñ
sochtā huuñ ki na mar jaa.e ye fan mere ba.ad
maiñ zamāne se uThā rasm-e-vafā kī sūrat
phirnā ubhrī kisī māthe pe shikan mere ba.ad
mere dam tak to zar-e-gul kī bhī qīmat na uThī
ḳhaak ke mol ga.ī arz-e-chaman mere ba.ad
hosh-mandī kī sazā de na kisī ko yārab
dam-ba-ḳhud pahle se haiñ ahl-e-vatan mere ba.ad
bazm-e-hastī hai ki ik boltā sannāTā hai
aa ga.ī vaqt kī sāñsoñ meñ ghuTan mere ba.ad
raushnī-sāz-zamāna huuñ to ye aalam hai
dekhiye kyā ho zamāne kā chalan mere ba.ad
mil hī jā.egā koī zarf-o-nazar kā maarā
dil-shikasta na raheñ rañj-o-mehan mere ba.ad
vaqt ne zehniyateñ kitnī badal Daalī haiñ
bijliyāñ tak haiñ havā-ḳhvāh-e-chaman mere ba.ad
mujh pe hañstā hai zamāna to koī baat nahīñ
rañg lā.egī mire dil kī jalan mere ba.ad
maut bar-haq hai magar 'shauq' ye manzūr nahīñ
un ke chehre pe ho sadme kī thakan mere ba.ad
zulf-e-dauran hai kahan saya-fagan mere baad
muntazir der se hain dar-o-rasan mere baad
kis ko dil-bastagi-e-gham ka saliqa saunpun
sochta hun ki na mar jae ye fan mere baad
main zamane se uTha rasm-e-wafa ki surat
phirna ubhri kisi mathe pe shikan mere baad
mere dam tak to zar-e-gul ki bhi qimat na uThi
KHak ke mol gai arz-e-chaman mere baad
hosh-mandi ki saza de na kisi ko yarab
dam-ba-KHud pahle se hain ahl-e-watan mere baad
bazm-e-hasti hai ki ek bolta sannaTa hai
aa gai waqt ki sanson mein ghuTan mere baad
raushni-saz-zamana hun to ye aalam hai
dekhiye kya ho zamane ka chalan mere baad
mil hi jaega koi zarf-o-nazar ka mara
dil-shikasta na rahen ranj-o-mehan mere baad
waqt ne zehniyaten kitni badal Dali hain
bijliyan tak hain hawa-KHwah-e-chaman mere baad
mujh pe hansta hai zamana to koi baat nahin
rang laegi mere dil ki jalan mere baad
maut bar-haq hai magar 'shauq' ye manzur nahin
un ke chehre pe ho sadme ki thakan mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.