banda-parwar din tasawwur kar rahe hain raat ko
banda-parwar din tasawwur kar rahe hain raat ko
Satish Balram Agnihotri
MORE BYSatish Balram Agnihotri
banda-parvar din tasavvur kar rahe haiñ raat ko
yā hamīñ ulTā samajh baiThe haiñ sīdhī baat ko
dūsroñ kī raah meñ kāñTe bichhā dene ke ba.ad
aadmī taklīf pahuñchātā hai apnī zaat ko
ham ujāle ke pujārī tum añdhere ke dhanī
din meñ zarre jagmagāte haiñ sitāre raat ko
bekasoñ par tanz ke patthar to bhārī chiiz haiñ
Thes phūloñ se pahuñch jaatī hai ehsāsāt ko
ham ġharīboñ kā ta.alluq rang-mahloñ se kahāñ
khetiyoñ se vāsta kyā shahr kī barsāt ko
vo hameñ talqīn farmāte haiñ aise mashvare
jaise andhe se kahā jaa.e ki baa.eñ haath ko
apne irshādāt par ai 'shād' pachhtāte haiñ vo
reza-chīñ malte haiñ makkhan jin ke irshādāt par
banda-parwar din tasawwur kar rahe hain raat ko
ya hamin ulTa samajh baiThe hain sidhi baat ko
dusron ki rah mein kanTe bichha dene ke baad
aadmi taklif pahunchata hai apni zat ko
hum ujale ke pujari tum andhere ke dhani
din mein zarre jagmagate hain sitare raat ko
bekason par tanz ke patthar to bhaari chiz hain
Thes phulon se pahunch jati hai ehsasat ko
hum gharibon ka talluq rang-mahlon se kahan
khetiyon se wasta kya shahr ki barsat ko
wo hamein talqin farmate hain aise mashware
jaise andhe se kaha jae ki baen hath ko
apne irshadat par ai 'shad' pachhtate hain wo
reza-chin malte hain makkhan jin ke irshadat par
- Book : Lafz Magazine-01 Feb-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.