main bikhar kar bhi bikharta hi nahin
maiñ bikhar kar bhī bikhartā hī nahīñ
mujh meñ vo kyā hai jo martā hī nahīñ
apnā āshiq huuñ azal se yaaro
maiñ kisī aur pe martā hī nahīñ
maiñ dhuāñ huuñ mirī manzil hai gagan
maiñ zamīñ par to Thahartā hī nahīñ
chuum le arsh ko ik baar koī
farsh par phir vo utartā hī nahīñ
maiñ huuñ jal-path kā musāfir 'alhaḌ'
rāj-path se maiñ guzartā hī nahīñ
main bikhar kar bhi bikharta hi nahin
mujh mein wo kya hai jo marta hi nahin
apna aashiq hun azal se yaro
main kisi aur pe marta hi nahin
main dhuan hun meri manzil hai gagan
main zamin par to Thaharta hi nahin
chum le arsh ko ek bar koi
farsh par phir wo utarta hi nahin
main hun jal-path ka musafir 'alhaD'
raj-path se main guzarta hi nahin
- Book : Ghazals Dushyant Ke Baad (Pg. 75)
- Author : Dixit Dankauri
- Publication : Vani Prakashan (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.