america sher paDhne gae the hamare dost
Interesting Fact
The refrain of this Ghazal was decided for the annual Mushaira held for commemorating Mushafi Amrohvi in Pakistan.
america sher paḌhne ga.e the hamāre dost
ḳhud daad le ke aa ga.e sāmān rah gayā
dīvān-e-'hāfiz' itnā paḌhā ek shaḳhs ne
ḳhud bhī vo ho ke hāfiz-e-dīvān rah gayā
ḳhush-qismatī se ham haiñ savār us jahāz par
sāhil pe jis jahāz kā kaptān rah gayā
har shaḳhs par hai kufr kā fatvā lagā huā
yuuñ hai to ek maiñ hī musalmān rah gayā
america sher paDhne gae the hamare dost
KHud dad le ke aa gae saman rah gaya
diwan-e-'hafiz' itna paDha ek shaKHs ne
KHud bhi wo ho ke hafiz-e-diwan rah gaya
KHush-qismati se hum hain sawar us jahaz par
sahil pe jis jahaz ka kaptan rah gaya
har shaKHs par hai kufr ka fatwa laga hua
yun hai to ek main hi musalman rah gaya
- Book : FEE SABEELILLAH (Pg. 21)
- Author : Dilawar Figar
- Publication : EDUCATIONAL PUBLISHING HOUSE. DELHI- (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.