aalam aalam ishq-o-junun hai duniya duniya tohmat hai
aalam aalam ishq-o-junūñ hai duniyā duniyā tohmat hai
dariyā dariyā rotā huuñ maiñ sahrā sahrā vahshat hai
ham to ishq meñ nā-kas Thahre koī na īdhar dekhegā
aañkh uThā kar vo dekhe to ye bhī us kī muravvat hai
haa.e ġhayūrī jis ke dekhe jī hī nikaltā hai apnā
dekhiye us kī or nahīñ phir ishq kī ye bhī ġhairat hai
koī dam raunaq majlis kī aur bhī hai is dam ke saath
ya.anī charāġh-e-sub.h se haiñ ham dam apnā bhī ġhanīmat hai
ḳhat aa.e zāhir hai ham par bigḌī bhī achchhī sūrat thī
baare kaho nākām hī ho yā kaam kī bhī kuchh sūrat hai
ek varaq par tasvīreñ maiñ dekhī haiñ lailā-o-majnūñ kī
aisī sūrat-e-hāl kī apnī un donoñ ko hairat hai
ḳhaak se aadam kar ke uThāyā jis ko dast-e-qudrat ne
qadr nahīñ kuchh us bande kī ye bhī ḳhudā kī qudrat hai
sub.h se aañsū naumīdāna jaise vidā.ī aatā thā
aaj kisū ḳhvāhish kī shāyad dil se hamāre ruḳhsat hai
kyā dilkash hai bazm jahāñ kī jaate yaañ se jise dekho
vo ġham-dīda ranj-kashīda aah sarāpā hasrat hai
jab kuchh apne kane rakhte the tab bhī sarf thā laḌkoñ kā
ab jo faqīr hue phirte haiñ 'mīr' unhīñ kī daulat hai
aalam aalam ishq-o-junun hai duniya duniya tohmat hai
dariya dariya rota hun main sahra sahra wahshat hai
hum to ishq mein na-kas Thahre koi na idhar dekhega
aankh uTha kar wo dekhe to ye bhi us ki murawwat hai
hae ghayuri jis ke dekhe ji hi nikalta hai apna
dekhiye us ki or nahin phir ishq ki ye bhi ghairat hai
koi dam raunaq majlis ki aur bhi hai is dam ke sath
yani charagh-e-subh se hain hum dam apna bhi ghanimat hai
KHat aae zahir hai hum par bigDi bhi achchhi surat thi
bare kaho nakaam hi ho ya kaam ki bhi kuchh surat hai
ek waraq par taswiren main dekhi hain laila-o-majnun ki
aisi surat-e-haal ki apni un donon ko hairat hai
KHak se aadam kar ke uThaya jis ko dast-e-qudrat ne
qadr nahin kuchh us bande ki ye bhi KHuda ki qudrat hai
subh se aansu naumidana jaise widai aata tha
aaj kisu KHwahish ki shayad dil se hamare ruKHsat hai
kya dilkash hai bazm jahan ki jate yan se jise dekho
wo gham-dida ranj-kashida aah sarapa hasrat hai
jab kuchh apne kane rakhte the tab bhi sarf tha laDkon ka
ab jo faqir hue phirte hain 'mir' unhin ki daulat hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1740
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.