Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahiyo qasid jo wo puchhe hamein kya karte hain

Meer Taqi Meer

kahiyo qasid jo wo puchhe hamein kya karte hain

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kahiyo qāsid jo vo pūchhe hameñ kyā karte haiñ

    jān-o-īmān-o-mohabbat ko duā karte haiñ

    ishq ātish bhī jo deve to na dam māreñ ham

    sham-e-tasvīr haiñ ḳhāmosh jalā karte haiñ

    jaa.e na maraz-e-dil to nahīñ is ilaaj

    apne maqdūr talak ham to davā karte haiñ

    us ke kūche meñ na kar shor-e-qayāmat zikr

    shaiḳh yaañ aise to hangāme huā karte haiñ

    bebasī se to tirī bazm meñ ham bahre bane

    nek-o-bad koī kahe baiThe sunā karte haiñ

    ruḳhsat-e-jumbish-e-lab ishq hairat se nahīñ

    muddateñ guzrīñ ki ham chup rahā karte haiñ

    parī shīshe se nāzuk hai na kar da.avā-e-mehr

    dil haiñ patthar ke unhoñ ke jo vafā karte haiñ

    tujh se lag ke ye yuuñ jaate raheñ mujh se haif

    dīda-o-dil ne na jaanā ki daġhā karte haiñ

    fursat-e-ḳhvāb nahīñ zikr-e-butāñ meñ ham ko

    raat din raam kahānī kahā karte haiñ

    majlis-e-hāl meñ mauzūñ harakat shaiḳh dekh

    hīz-e-shara.ī bhī dam-e-raqs maza karte haiñ

    ye zamāna nahīñ aisā ki koī ziist kare

    chāhte haiñ jo burā apnā bhalā karte haiñ

    mahz nākāra bhī mat jaan hameñ ki kahīñ

    aise nākām bhī bekār phirā karte haiñ

    tujh bin is jān-e-musībat-zada ġham-dīda pe ham

    kuchh nahīñ karte to afsos kiyā karte haiñ

    kyā kaheñ 'mīr' ham tum se ma.āsh apnī ġharaz

    ġham ko khāyā kareñ haiñ lohū piyā karte haiñ

    kahiyo qasid jo wo puchhe hamein kya karte hain

    jaan-o-iman-o-mohabbat ko dua karte hain

    ishq aatish bhi jo dewe to na dam maren hum

    sham-e-taswir hain KHamosh jala karte hain

    jae hi na maraz-e-dil to nahin is ka ilaj

    apne maqdur talak hum to dawa karte hain

    us ke kuche mein na kar shor-e-qayamat ka zikr

    shaiKH yan aise to hangame hua karte hain

    bebasi se to teri bazm mein hum bahre bane

    nek-o-bad koi kahe baiThe suna karte hain

    ruKHsat-e-jumbish-e-lab ishq ki hairat se nahin

    muddaten guzrin ki hum chup hi raha karte hain

    tu pari shishe se nazuk hai na kar dawa-e-mehr

    dil hain patthar ke unhon ke jo wafa karte hain

    tujh se lag ja ke ye yun jate rahen mujh se haif

    dida-o-dil ne na jaana ki dagha karte hain

    fursat-e-KHwab nahin zikr-e-butan mein hum ko

    raat din ram kahani si kaha karte hain

    majlis-e-haal mein mauzun harakat shaiKH ki dekh

    hiz-e-sharai bhi dam-e-raqs maza karte hain

    ye zamana nahin aisa ki koi zist kare

    chahte hain jo bura apna bhala karte hain

    mahz nakara bhi mat jaan hamein tu ki kahin

    aise nakaam bhi bekar phira karte hain

    tujh bin is jaan-e-musibat-zada gham-dida pe hum

    kuchh nahin karte to afsos kiya karte hain

    kya kahen 'mir' ji hum tum se maash apni gharaz

    gham ko khaya karen hain lohu piya karte hain

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0292
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now