ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain
Interesting Fact
خمسہ بر غزلِ احمد فراز
ilāj-e-hijr zarā aur karke dekhte haiñ
nazāre ham kisī rashk-e-qamar ke dekhte haiñ
ḳhumār-e-dīd se ham bhī sañvar ke dekhte haiñ
''sunā hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ
so us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ''
hameñ kasak sī jo lāhaq hai chand sāloñ se
najāt paane ko jaate haiñ in malāloñ se
halāk hote haiñ us kī nigah ke bhāloñ se
''sunā hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se
so apne aap ko barbād karke dekhte haiñ
subū mizāj hai sad-chashm-e-naġhma-sāz us kī
vo be-niyāz nigah hai suḳhan-tarāz us kī
dil-e-shaqī se to achchhī hai sāz-bāz us kī
''sunā hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī
so ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ''
ġhazal sunāne kā us ko hameñ milā hai sharaf
suḳhan meñ ham ne banāyā jo us ko apnā hadaf
to uTh bhī saktī hai us kī nazar hamārī taraf
''sunā hai us ko bhī hai sher-o-shā.erī se shaġhaf
so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ''
vo muskurā.e to ruḳh par gaḌhe se paḌte haiñ
laboñ ko chhūte haiñ alfāz to sañvarte haiñ
jo lams paate haiñ hoñToñ kā to nikharte haiñ
''sunā hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ
ye baat hai to chalo baat karke dekhte haiñ''
vahī to hai jise har ek chāñd kahtā hai
vo jis ke nuur meñ sūraj kiran sā bahtā hai
vo jis ke hijr ko sūraj bhī chhup ke sahtā hai
''sunā hai raat use chāñd taktā rahtā hai
sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ''
ki us kī zulf pe to badliyāñ khul aatī haiñ
usī kī diid pe ye qumriyāñ bhī gaatī haiñ
usī ke nuur meñ to bijliyāñ nahātī haiñ
''sunā hai din ko use titliyāñ satātī haiñ
sunā hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ''
bahut hasīn haiñ us kī ḳhayāl sī āñkheñ
vafūr-e-bāda se rangīñ gulāl sī āñkheñ
jo un meñ jhāñk ke dekho to Dhaal sī āñkheñ
''sunā hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ
sunā hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ''
ki rasmasā ke sanā-gar haiñ koñpleñ us kī
sunā hai kaif kā mehvar haiñ mahfileñ us kī
sunā hai shauq se bartar haiñ manzileñ us kī
''sunā hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī
sunā hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ''
sunā hai ġhuncha-dahan sirr-e-sad-malāhat hai
sunā hai jān-e-ġhazal sar-basar sabāhat hai
sunā hai us kī ajab rustaḳhez qāmat hai
''sunā hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ''
jo muskurā.e to yāqūt-e-lab bahalte haiñ
sunā hai us ke tabassum se dil pighalte haiñ
aqīq-hoñToñ pe jab qahqahe machalte haiñ
''sunā hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ
so ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ''
hai baat aur hī aur har adā hasīñ us kī
sabā ke dosh pe vo zulf-e-ambarīñ us kī
ki dil pe qahr haiñ bāteñ vo dil-nashīñ us kī
''sunā hai ā.ina-timsāl hai jabīñ us kī
jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ''
ki dekhte jo haiñ ḳhud ko vo us ke darpan meñ
hue haiñ itne vo mas.hūr us kī ban-Than meñ
vo ḳhud ko bhuul ke kho.e haiñ ik na.e-pan meñ
''sunā hai jab se hamā.il haiñ is kī gardan meñ
mizāj aur hī la.al-o-gohar ke dekhte haiñ''
sunā hai lams ko paane ke us ke armāñ meñ
vafūr-e-kaif ke afsūñ meñ shauq-e-jānāñ meñ
isī ḳhayāl meñ kho kar kabhī shabistāñ meñ
''sunā hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ
palañg zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ''
ġhurūr-e-husn ke phūloñ kī aisī-taisī hai
go ḳhushbū un kī bhī bilkul usī ke jaisī hai
par un kī aan yahāñ paash paash kaisī hai
''sunā hai us ke badan kī tarāsh aisī hai
ki phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ''
nazīr koī bhī us kā sar-e-bilād nahīñ
koī bhī husn meñ us husn se ziyād nahīñ
nahīñ jo dekh ke us ko koī jo shaad nahīñ
''vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ
ki is shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ''
ajiib chiiz hai jalva jamāl-e-kāmil kā
haTe kabhī ki jo parda hai us ke mahmil kā
ḳhayāl phir nahīñ rahtā hai koī manzil kā
''bas ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā
so rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ''
sunā hai us ke shabistāñ se munfa.il hai bahisht
sunā hai us ke shabistāñ se muzmahil hai bahisht
sunā hai us ke shabistāñ se mundamil hai bahisht
''sunā hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht
makīñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ''
chale to gardisheñ sab e'tirāf kartī haiñ
chale to rāsta us kā vo saaf kartī haiñ
chale to us ke salīqe kā laaf kartī haiñ
''ruke to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ
chale to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ''
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī ik anjuman use dekhe
aur is tarah ki bad-dīvāna-pan use dekhe
kabhī darīche se guzrī pavan use dekhe
''kise nasīb ki be-pairahan use dekhe
kabhī kabhī dar-o-dīvār ghar ke dekhte haiñ''
ajab junūñ ke ye apne muālije hī sahī
dil-e-ġharīb ke apne muġhālate hī sahī
ye bālak-haT ke sabab ke mutālbe hī sahī
''kahāniyāñ hī sahī sab mubālġhe hī sahī
agar vo ḳhvāb hai ta.abīr karke dekhte haiñ''
usī ke kūche meñ rah leñ ki dar-ba-dar jaa.eñ
usī ke dar pe hī baiTheñ yā apne ghar jaa.eñ
ab us ke shahr ko chhoḌeñ yā is meñ mar jaa.eñ
''ab us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ
'farāz' aao sitāre safar ke dekhte haiñ''
ilaj-e-hijr zara aur karke dekhte hain
nazare hum kisi rashk-e-qamar ke dekhte hain
KHumar-e-did se hum bhi sanwar ke dekhte hain
suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
hamein kasak si jo lahaq hai chand salon se
najat pane ko jate hain in malalon se
halak hote hain us ki nigah ke bhaalon se
suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se
so apne aap ko barbaad karke dekhte hain
subu mizaj hai sad-chashm-e-naghma-saz us ki
wo be-niyaz nigah hai suKHan-taraaz us ki
dil-e-shaqi se to achchhi hai saz-baz us ki
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
ghazal sunane ka us ko hamein mila hai sharaf
suKHan mein hum ne banaya jo us ko apna hadaf
to uTh bhi sakti hai us ki nazar hamari taraf
suna hai us ko bhi hai sher-o-shaeri se shaghaf
so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain
wo muskurae to ruKH par gaDhe se paDte hain
labon ko chhute hain alfaz to sanwarte hain
jo lams pate hain honTon ka to nikharte hain
suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat karke dekhte hain
wahi to hai jise har ek chand kahta hai
wo jis ke nur mein suraj kiran sa bahta hai
wo jis ke hijr ko suraj bhi chhup ke sahta hai
suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
ki us ki zulf pe to badliyan khul aati hain
usi ki did pe ye qumriyan bhi gati hain
usi ke nur mein to bijliyan nahati hain
suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain
bahut hasin hain us ki KHayal si aankhen
wafur-e-baada se rangin gulal si aankhen
jo un mein jhank ke dekho to Dhaal si aankhen
suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
ki rasmasa ke sana-gar hain konplen us ki
suna hai kaif ka mehwar hain mahfilen us ki
suna hai shauq se bartar hain manzilen us ki
suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki
suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain
suna hai ghuncha-dahan sirr-e-sad-malahat hai
suna hai jaan-e-ghazal sar-basar sabahat hai
suna hai us ki ajab rustaKHez qamat hai
suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
jo muskurae to yaqut-e-lab bahalte hain
suna hai us ke tabassum se dil pighalte hain
aqiq-honTon pe jab qahqahe machalte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain
hai baat aur hi aur har ada hasin us ki
saba ke dosh pe wo zulf-e-ambarin us ki
ki dil pe qahr hain baaten wo dil-nashin us ki
suna hai aaina-timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain
ki dekhte jo hain KHud ko wo us ke darpan mein
hue hain itne wo mashur us ki ban-Than mein
wo KHud ko bhul ke khoe hain ek nae-pan mein
suna hai jab se hamail hain is ki gardan mein
mizaj aur hi lal-o-gohar ke dekhte hain
suna hai lams ko pane ke us ke arman mein
wafur-e-kaif ke afsun mein shauq-e-jaanan mein
isi KHayal mein kho kar kabhi shabistan mein
suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain
ghurur-e-husn ke phulon ki aisi-taisi hai
go KHushbu un ki bhi bilkul usi ke jaisi hai
par un ki aan yahan pash pash kaisi hai
suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain
nazir koi bhi us ka sar-e-bilad nahin
koi bhi husn mein us husn se ziyaad nahin
nahin jo dekh ke us ko koi jo shad nahin
wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki is shajar pe shagufe samar ke dekhte hain
ajib chiz hai jalwa jamal-e-kaamil ka
haTe kabhi ki jo parda hai us ke mahmil ka
KHayal phir nahin rahta hai koi manzil ka
bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se munfail hai bahisht
suna hai us ke shabistan se muzmahil hai bahisht
suna hai us ke shabistan se mundamil hai bahisht
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
chale to gardishen sab e'tiraf karti hain
chale to rasta us ka wo saf karti hain
chale to us ke saliqe ka laf karti hain
ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
KHayal-o-KHwab ki ek anjuman use dekhe
aur is tarah ki bad-diwana-pan use dekhe
kabhi dariche se guzri pawan use dekhe
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diwar ghar ke dekhte hain
ajab junun ke ye apne mualije hi sahi
dil-e-gharib ke apne mughaalate hi sahi
ye baalak-haT ke sabab ke mutalbe hi sahi
kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
agar wo KHwab hai tabir karke dekhte hain
usi ke kuche mein rah len ki dar-ba-dar jaen
usi ke dar pe hi baiThen ya apne ghar jaen
ab us ke shahr ko chhoDen ya is mein mar jaen
ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen
'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.