kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran
Interesting Fact
خمسہ بر غزلِ سردار جعفری
kunjashk-o-darnā tāza-dam laala kañval aur nastaran
vo bulbul-o-tā.ūs-o-gul vo kaukab aur vo yāsman
gul-hā-e-sad-rangīñ-qabā murġhān-e-sad-shīrīñ-dahan
''gulshan kaho tum yā chaman hai ahl-e-dil kī anjuman
sad bulbul-e-shorīda-sar sad lāla-e-ḳhūnīñ-kafan''
vo bāġh-e-yak-mīnu-sifat ganjīna-e-sarv-o-saman
mas.hūr-kun vo chahchahe vo lahn-e-sad-nāz-e-suḳhan
hai ambarīñ jis kī fazā mushk-e-ḳhutan jis kī pavan
''is baaġh meñ aatī hai ik mahbūba-e-gul-pairahan
shīrīñ-navā shīrīñ-adā shīrīñ-suḳhan shīrīñ-dahan''
vo hai ilāj-e-dard-e-dil dil kī magar halchal bhī hai
vo āshnā-e-ġham bhī hai lekin bahut chanchal bhī hai
vo jalva-e-māh-e-mubīñ vo nāznīñ sāñval bhī hai
''vo gul bhī hai sūraj bhī hai bijlī bhī hai bādal bhī hai
dekhā na thā pahle kabhī aisā hasīñ bāñkā sajan''
aise vo aaya māh-rū ausān sab ke aa liye
nok aur palak ab sher kī kyā dekhiye kyā bhāliye
ash ash ke is tūfān ko āḳhir kahāñ tak Tāliye
''paikar ko us ke sher ke paikar meñ kyūñkar Dhāliye
ḳhāmosh haiñ hairān haiñ sab shahryārān-e-suḳhan''
bulbul sī vo naġhma-kunāñ muskān ġhunche kī chaTak
tevar vo bijlī kī lapak lālīñ vo aariz kī dhanak
zulfoñ meñ ambar kī mahak āñkhoñ meñ tāroñ kī damak
''peshāni-e-sīmīñ hai yā sub.h-e-taḳhayyul kī chamak
shā.istagī-e-fikr-o-fan us ke tabassum kī kiran''
vo husn sā pā.inda hai vo maah sā raḳhshanda hai
behad hī vo baḳhshinda hai aur sab se hī zebinda hai
jo dekh le farḳhanda hai chāhe jo us ko zinda hai
''hūr-o-parī sharminda hai vo is qadar tābinda hai
dekhe se nikhre rang-e-ruḳh chhūne se mailā ho badan''
chāho bahut sunte raho us zindagī ke saaz ko
dil meñ hī bas rakkho magar tum uns ke us raaz ko
jo kuchh bhī ho tum chhūnā mat us paikar-e-andāz ko
''bas duur se dekhā karo us sham.a-e-bazm-e-nāz ko
vo raunaq-e-kāshāna-e-dil hairat-e-sad-anjuman''
bātoñ meñ us kī hai ayaañ vāzeh ye mub.ham kaun hai
sochoñ meñ us kī dam-ba-dam maujūd paiham kaun hai
tanhā.ī ke is dasht meñ ye us kā hamdam kaun hai
''aao chaleñ dekheñ zarā vo jān-e-ālam kaun hai
'sardār' ke sheroñ meñ hai zulf-e-mo.ambar kī shikan''
kunjashk-o-darna taza-dam lala kanwal aur nastaran
wo bulbul-o-taus-o-gul wo kaukab aur wo yasman
gul-ha-e-sad-rangin-qaba murghan-e-sad-shirin-dahan
gulshan kaho tum ya chaman hai ahl-e-dil ki anjuman
sad bulbul-e-shorida-sar sad lala-e-KHunin-kafan
wo bagh-e-yak-minu-sifat ganjina-e-sarw-o-saman
mashur-kun wo chahchahe wo lahn-e-sad-naz-e-suKHan
hai ambarin jis ki faza mushk-e-KHutan jis ki pawan
is bagh mein aati hai ek mahbuba-e-gul-pairahan
shirin-nawa shirin-ada shirin-suKHan shirin-dahan
wo hai ilaj-e-dard-e-dil dil ki magar halchal bhi hai
wo aashna-e-gham bhi hai lekin bahut chanchal bhi hai
wo jalwa-e-mah-e-mubin wo naznin sanwal bhi hai
wo gul bhi hai suraj bhi hai bijli bhi hai baadal bhi hai
dekha na tha pahle kabhi aisa hasin banka sajan
aise wo aaya mah-ru ausan sab ke aa liye
nok aur palak ab sher ki kya dekhiye kya bhaaliye
ash ash ke is tufan ko aaKHir kahan tak Taliye
paikar ko us ke sher ke paikar mein kyunkar Dhaaliye
KHamosh hain hairan hain sab shahryaran-e-suKHan
bulbul si wo naghma-kunan muskan ghunche ki chaTak
tewar wo bijli ki lapak lalin wo aariz ki dhanak
zulfon mein ambar ki mahak aankhon mein taron ki damak
peshani-e-simin hai ya subh-e-taKHayyul ki chamak
shaistagi-e-fikr-o-fan us ke tabassum ki kiran
wo husn sa painda hai wo mah sa raKHshanda hai
behad hi wo baKHshinda hai aur sab se hi zebinda hai
jo dekh le farKHanda hai chahe jo us ko zinda hai
hur-o-pari sharminda hai wo is qadar tabinda hai
dekhe se nikhre rang-e-ruKH chhune se maila ho badan
chaho bahut sunte raho us zindagi ke saz ko
dil mein hi bas rakkho magar tum uns ke us raaz ko
jo kuchh bhi ho tum chhuna mat us paikar-e-andaz ko
bas dur se dekha karo us shama-e-bazm-e-naz ko
wo raunaq-e-kashana-e-dil hairat-e-sad-anjuman
baaton mein us ki hai ayan wazeh ye mubham kaun hai
sochon mein us ki dam-ba-dam maujud paiham kaun hai
tanhai ke is dasht mein ye us ka hamdam kaun hai
aao chalen dekhen zara wo jaan-e-alam kaun hai
'sardar' ke sheron mein hai zulf-e-moambar ki shikan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.