chhuDa ke but ki parastish sikhai thi wahdat
chhuDa ke but ki parastish sikhai thi wahdat
Dharampal Gupta Wafa Dehlvi
MORE BYDharampal Gupta Wafa Dehlvi
chhuḌā ke but kī parastish sikhā.ī thī vahdat
mire ḳhayāl kī tarvīj aam ho jaa.e
sikhāyā ahl-e-arab ko barābarī kā dars
ki imtiyāz kā qissa tamām ho jaa.e
siyāsiyāt se maz.hab milā diyā tū ne
ki dīn-o-duniyā kā sab intizām ho jaa.e
tire ḳhayāl meñ ye saḳht nā-munāsib thā
bashar koī bhī bashar kā ġhulām ho jaa.e
rifāh-e-ām hī terā thā jab ki nasbul-'ain
laqab na kyoñ tirā ḳhair-ul-anām ho jaa.e
chhuDa ke but ki parastish sikhai thi wahdat
mere KHayal ki tarwij aam ho jae
sikhaya ahl-e-arab ko barabari ka dars
ki imtiyaz ka qissa tamam ho jae
siyasiyat se mazhab mila diya tu ne
ki din-o-duniya ka sab intizam ho jae
tere KHayal mein ye saKHt na-munasib tha
bashar koi bhi bashar ka ghulam ho jae
rifah-e-am hi tera tha jab ki nasbul-'ain
laqab na kyon tera KHair-ul-anam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.