aadarsh
lailā-e-shauq kī zulfoñ se ulajh kar maiñ ne
dekh lī husn ke ā.īne meñ tasvīr-e-junūñ
karvaTeñ letā hai is tarah ye ehsās-e-jamāl
jaise girtī huī dīvār pe ho ḳhizr kā haath
dhīme dhīme se chalī vādī-e-aiman kī havā
ġham ke hāthoñ bhī sañvar jaatī hai tāroñ-bharī raat
kaun kahtā hai ki duniyā ko bhulā baiThā huuñ
TuuT saktā hai bhalā yuuñ bhī kisī kā pindār
maut ho jā.egī pāmāl inhīñ rāhoñ meñ
laġhzish-e-pā meñ simaT aaya hai vahshī kirdār
jab kabhī gesu-e-mushkīñ se uThī kaalī ghaTā
pahlū-e-shauq se ubhrā hai junūñ kā tūfāñ
sho.ala-e-barq-o-sharar phuul banā kis ke liye
bech aaya hai koī us kī galī meñ īmāñ
ḳhvāb sā dekh rahā huuñ magar is mahfil se
toḌ kar jām-o-subū aaj chalā aaya huuñ
mai-e-gul-rang se chhalkā.ūñgā har sāġhar ko
apne hamrāh do aalam kā nasha laayā huuñ
laila-e-shauq ki zulfon se ulajh kar main ne
dekh li husn ke aaine mein taswir-e-junun
karwaTen leta hai is tarah ye ehsas-e-jamal
jaise girti hui diwar pe ho KHizr ka hath
dhime dhime se chali wadi-e-aiman ki hawa
gham ke hathon bhi sanwar jati hai taron-bhari raat
kaun kahta hai ki duniya ko bhula baiTha hun
TuT sakta hai bhala yun bhi kisi ka pindar
maut ho jaegi pamal inhin rahon mein
laghzish-e-pa mein simaT aaya hai wahshi kirdar
jab kabhi gesu-e-mushkin se uThi kali ghaTa
pahlu-e-shauq se ubhra hai junun ka tufan
shoala-e-barq-o-sharar phul bana kis ke liye
bech aaya hai koi us ki gali mein iman
KHwab sa dekh raha hun magar is mahfil se
toD kar jam-o-subu aaj chala aaya hun
mai-e-gul-rang se chhalkaunga har saghar ko
apne hamrah do aalam ka nasha laya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.