aansu
Interesting Fact
(Dastavez, October-November, 1973)
kaho pyāre ki ye bāzār hai
maano ki ye bāzār hai sachchā.ī kā bāzār
tum sach sach batāo daam
chhab dikhlāo
gāhak kī yahī marzī hai
tum marzī kā saudā ho idhar ghūmo jhuko kuchh aur jhuk jaao
ki jhukne hī se jhuktī hai jise taqdīr kahtī hai ye duniyā
jis ko tum duniyā samajhte ho
sabhī shahroñ meñ ye bāzār hai
lekin darīcha dil kā khultā hai
to is bāzār kā manzar jhalaktā hai
maiñ jhuktā huuñ maiñ jhuktā huuñ
koī mujh se ye kahtā hai ki haañ kuchh aur jhuk jaao
taqāzā hai taqāzoñ kī ye duniyā kitnī sachchī hai
baḌī pyārī hai ye duniyā
darīcha dil kā khul jaa.e to khul jaatī hai zip pocket kī dobāra
darīcha dil kā khultā hai
magar dil kī kalī chhoḌo ye bāteñ
haañ ye bāteñ jhuuT haiñ
sachchī hai ye duniyā
zarā ik chhab dikhāo ghuum jaao ghūmte jaao
ki duniyā ghūmtī hai gol hai pyāre
sabhī golā.iyāñ apne kināroñ se Dhalak jaatī haiñ
jab bāzār suunā ho
utar jaatā hai ġhāza
aur dil kahtā hai
rone do
kuchh itne zor se barso ki dhul jaa.e ye gulshan ḳhvāhishoñ kā
dil kī miTTī se ugeñ kaliyāñ gulāboñ kī
darīcha dil kā khul jaa.e to galiyoñ meñ mahakte ḳhvāb
ḳhvāboñ se mileñ
dil dil se mil jaa.e
kaho pyare ki ye bazar hai
mano ki ye bazar hai sachchai ka bazar
tum sach sach batao dam
chhab dikhlao
gahak ki yahi marzi hai
tum marzi ka sauda ho idhar ghumo jhuko kuchh aur jhuk jao
ki jhukne hi se jhukti hai jise taqdir kahti hai ye duniya
jis ko tum duniya samajhte ho
sabhi shahron mein ye bazar hai
lekin daricha dil ka khulta hai
to is bazar ka manzar jhalakta hai
main jhukta hun main jhukta hun
koi mujh se ye kahta hai ki han kuchh aur jhuk jao
taqaza hai taqazon ki ye duniya kitni sachchi hai
baDi pyari hai ye duniya
daricha dil ka khul jae to khul jati hai zip pocket ki dobara
daricha dil ka khulta hai
magar dil ki kali chhoDo ye baaten
han ye baaten jhuT hain
sachchi hai ye duniya
zara ek chhab dikhao ghum jao ghumte jao
ki duniya ghumti hai gol hai pyare
sabhi golaiyan apne kinaron se Dhalak jati hain
jab bazar suna ho
utar jata hai ghaza
aur dil kahta hai
rone do
kuchh itne zor se barso ki dhul jae ye gulshan KHwahishon ka
dil ki miTTi se ugen kaliyan gulabon ki
daricha dil ka khul jae to galiyon mein mahakte KHwab
KHwabon se milen
dil dil se mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.