ajnabi des ke raston pe bhaTakte rahi
ajnabī des ke rastoñ pe bhaTakte raahī
maiñ ne sochā hai ki aaj tujhe ḳhat likkhūñ
aaj likkhūñ ki sulagte hue armānoñ meñ
kitne zahrīle subuk tiir chubhā karte haiñ
kaise dhuñdlā.ī huī raat maiñ be-bas aañsū
Dar ke tanhā.ī se tham tham ke bahā karte haiñ
jhuñjhlāhaT meñ tujhe bhūlne kī koshisheñ bhī kiiñ
kaise phir lauT bhī aane kī duā karte haiñ
kaise ma.asūm bilakte hue ehsānoñ se
naam le le ke tirā log hañsā karte haiñ
ta.ane kaste haiñ ka.ī baar terī chāhat par
ruuh ke ehsās ko badnām kiyā karte haiñ
aur ham haiñ ki bas hāthoñ se kaleja thāme
be-rahm vaqt kī har choT sahā karte haiñ
ajnabi des ke raston pe bhaTakte rahi
main ne socha hai ki aaj tujhe KHat likkhun
aaj likkhun ki sulagte hue armanon mein
kitne zahrile subuk tir chubha karte hain
kaise dhundlai hui raat main be-bas aansu
Dar ke tanhai se tham tham ke baha karte hain
jhunjhlahaT mein tujhe bhulne ki koshishen bhi kin
kaise phir lauT bhi aane ki dua karte hain
kaise masum bilakte hue ehsanon se
nam le le ke tera log hansa karte hain
tane kaste hain kai bar teri chahat par
ruh ke ehsas ko badnam kiya karte hain
aur hum hain ki bas hathon se kaleja thame
be-rahm waqt ki har choT saha karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.