dil kahtā hai duur chaleñ
ab itnī duur chaleñ ki pīchhe aane vaalī
āvāzoñ kā shor sunā.ī de na paa.e
itnī duur chaleñ ki har chehra dhuñdlā paḌ jaa.e āñkheñ pīchhe muḌ kar dekh na
paa.eñ dil kahtā hai itnā ro.eñ saarī vahshat āñkhoñ ke raste bah jaa.e aañsū
dukh aur dard ke āmeze se dard alaihada kar ke pheñk deñ aur zarā sā dukh rakh
leñ ham aañsū to phir aa jaate haiñ dil kahtā hai ḳhvāb na dekheñ be-sudh ho kar raat
guzāreñ sub.h uTheñ aur sūraj kī us pahlī kiran kā chehra dekheñ jis ne raat ko
fat.h kiyā hai dil kahtā hai ḳhuub hañseñ aur itnā hañseñ ki āñkhoñ meñ aañsū
aa jaa.eñ itnā hañseñ kamra bhar jaa.e dil kahtā hai sāhil kī maujoñ se kheleñ ek
ik lahr pe paañv dhareñ aur chalte jaa.eñ jitnī duur samandar kī lahreñ le jaa.eñ
aur kabhī na lauT ke aa.eñ dil kahtā hai tere paañv pe sar rakh deñ ham apne
bāloñ par tere hāthoñ ke lams se jiinā sīkheñ duniyā ke sab dukh aur dard
bhulā deñ sirf tujhe dekheñ aur apnī umr bitā.eñ dil kahtā hai