huzuri
huzūrī meñ ye mushkil thī ki ho kyā kuchh bayāñ pahle
vafā kā zikr pahle yā jafā kī dāstāñ pahle
niyāz-o-nāz meñ farq-e-marātib koī kyā samjhe
jabīñ pahle jhukī yā khiñch ke aaya āstāñ pahle
vahī hai vādī-e-aiman vahī tūr-e-tajallī hai
magar maiñ siikh luuñ ahl-e-mohabbat kī zabāñ pahle
kabhī ik aan meñ soz-e-nazar se jal uThe parde
kabhī barsoñ hue tāb-e-nazar ke imtihāñ pahle
bas ik do gaam aur aage hai is ke manzil-e-irfāñ
agar tai ho sake ye manzil-e-vahm-o-gumāñ se pahle
ḳhirad bhī rahbar-e-manzil hai lekin mo'atabar kam hai
ye shart-e-avvalīñ hai dil kī ho le ham-ināñ pahle
'munīr' āsāñ nahīñ hai rāh-e-ulfat se guzarnā bhī
ye lāzim hai ki ho le ḳhūgar-e-zabt-e-fuġhāñ pahle
huzuri mein ye mushkil thi ki ho kya kuchh bayan pahle
wafa ka zikr pahle ya jafa ki dastan pahle
niyaz-o-naz mein farq-e-maraatib koi kya samjhe
jabin pahle jhuki ya khinch ke aaya aastan pahle
wahi hai wadi-e-aiman wahi tur-e-tajalli hai
magar main sikh lun ahl-e-mohabbat ki zaban pahle
kabhi ek aan mein soz-e-nazar se jal uThe parde
kabhi barson hue tab-e-nazar ke imtihan pahle
bas ek do gam aur aage hai is ke manzil-e-irfan
agar tai ho sake ye manzil-e-wahm-o-guman se pahle
KHirad bhi rahbar-e-manzil hai lekin mo'atabar kam hai
ye shart-e-awwalin hai dil ki ho le ham-inan pahle
'munir' aasan nahin hai rah-e-ulfat se guzarna bhi
ye lazim hai ki ho le KHugar-e-zabt-e-fughan pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.