intibah
ai mere beTo!
maiñ sochtī huuñ
ki qadmoñ se
maiñ apne tan ke hayāt-āgīñ lahū ke chashme
bahā rahī huuñ
tumhāre saare
nazār jismoñ nahīf zehnoñ kī murdanī ko
miTā rahī huuñ
azal se apne za.iif chehre kī āḌī-tirchhī
sī jhurriyoñ kī lakīr meñ to
udaas āñkhoñ malūl palkoñ
se Tapke qatre
milā rahī huuñ
hasīn ḳhvāboñ ke būḌhe bargad
ke zard patte bhī chun rahī huuñ
vo ḳhvāb jin ke
chamakte jugnū
asiir karne ko merī bāñhoñ ke sāhiloñ par
safed chehre siyāh qālib
ġhanīm utre
hasīn ḳhvāboñ ke jugnuoñ ko
asiir kar ke
ḳhud apnī maaoñ kī sard āñkhoñ ko zindagī dī
mire dafīne mire ḳhazīne
se apnī kashtī
kī god bhar bhar ke le ga.e aur
mere beToñ ke zehn-o-dil meñ
tafāvutoñ aur adāvatoñ kī
karīh fasloñ ke biij bo.e
vo fasleñ jin ko
aziiz beToñ ne apne apne lahū se sīñchā
ki jin ke siine kī paak miTTī
ko garm taaza lahū se
har dam
ġhalīz rakkhā
aur mere beTo!
maiñ sochtī huuñ
isī tarah gar
tafāvutoñ aur adāvatoñ ke
ye biich bote
rahe to ik din
ye dekhnā tum
na tum rahoge na maiñ rahūñgī
faqat hamārī kathā rahegī!
ai mere beTo!
main sochti hun
ki qadmon se
main apne tan ke hayat-agin lahu ke chashme
baha rahi hun
tumhaare sare
nazar jismon nahif zehnon ki murdani ko
miTa rahi hun
azal se apne zaif chehre ki aaDi-tirchhi
si jhurriyon ki lakir mein to
udas aankhon malul palkon
se Tapke qatre
mila rahi hun
hasin KHwabon ke buDhe bargad
ke zard patte bhi chun rahi hun
wo KHwab jin ke
chamakte jugnu
asir karne ko meri banhon ke sahilon par
safed chehre siyah qalib
ghanim utre
hasin KHwabon ke jugnuon ko
asir kar ke
KHud apni maon ki sard aankhon ko zindagi di
mere dafine mere KHazine
se apni kashti
ki god bhar bhar ke le gae aur
mere beTon ke zehn-o-dil mein
tafawuton aur adawaton ki
karih faslon ke bij boe
wo faslen jin ko
aziz beTon ne apne apne lahu se sincha
ki jin ke sine ki pak miTTi
ko garm taza lahu se
har dam
ghaliz rakkha
aur mere beTo!
main sochti hun
isi tarah gar
tafawuton aur adawaton ke
ye bich bote
rahe to ek din
ye dekhna tum
na tum rahoge na main rahungi
faqat hamari katha rahegi!
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 97)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.