ishq-e-mamnua
vo mujh se milā magar
qurb-o-dūrī kī is nahaj par
jahāñ amānat meñ ḳhayānat kā ḳhauf rahā
jahāñ chāshnī kā aisā daur thā
ki na din guzarne kā ilm na raat kā patā
jahāñ supurdagī kā vo aalam thā
ki do jism ek jaan kā mo.āmla
magar ajab sā ek rakh-rakhāv rahā
ham donoñ ke darmiyān
na vo dariyā ke paar utrā
na maiñ ne khole bādbān
goyā mere aur us ke biich
chand farlāñg adab kī duurī ho
us ke andar jhāñknā jaise
koī nā-qābil-e-muāfī chorī ho
jaise muqaddas kitāboñ kī jānib
be-vuzū baḌhtā huā haath
ehtirāman rok le koī
jaise sirhāne pe paḌtā huā paañv
ehtiyātan thaam le koī
jaise ulTe paḌe hue juute kī samt
fauran ruḳh āsmān se moḌ le koī
goyā us kā vajūd kisī muqaddas shai kī mānind thā
jis ko ġhair qasdan chhūnā bhī gunāh ho
goyā us kī zaat meñ safar karnā to halāl thā
magar us ke dil meñ ghar karnā harām ho
vo mujh se milā magar
qurb-o-dūrī kī us nahaj par
jahāñ amānat meñ ḳhayānat kā ḳhauf rahā
wo mujh se mila magar
qurb-o-duri ki is nahaj par
jahan amanat mein KHayanat ka KHauf raha
jahan chashni ka aisa daur tha
ki na din guzarne ka ilm na raat ka pata
jahan supurdagi ka wo aalam tha
ki do jism ek jaan ka moamla
magar ajab sa ek rakh-rakhaw raha
hum donon ke darmiyan
na wo dariya ke par utra
na main ne khole baadban
goya mere aur us ke bich
chand farlang adab ki duri ho
us ke andar jhankna jaise
koi na-qabil-e-muafi chori ho
jaise muqaddas kitabon ki jaanib
be-wuzu baDhta hua hath
ehtiraman rok le koi
jaise sirhane pe paDta hua panw
ehtiyatan tham le koi
jaise ulTe paDe hue jute ki samt
fauran ruKH aasman se moD le koi
goya us ka wajud kisi muqaddas shai ki manind tha
jis ko ghair qasdan chhuna bhi gunah ho
goya us ki zat mein safar karna to halal tha
magar us ke dil mein ghar karna haram ho
wo mujh se mila magar
qurb-o-duri ki us nahaj par
jahan amanat mein KHayanat ka KHauf raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.