maiñ kahtā huuñ tum se agar shaam ko bhuul kar bhī kisī ne kabhī koī dhundlā sitāra na dekhā
to is par ta.ajjub nahīñ hai na hogā
azal se isī Dhab kī pāband hai shaam kī zāhirā be-zarar shoḳh nāgin
ubharte hue aur lachakte hue aur machalte hue kahtī jaatī hai aao mujhe dekho maiñ ne
tumhāre liye ek rañgīn mahfil jamā.ī huī hai
anokhā sā aivān hai har taraf jis meñ parde gire haiñ vahāñ jo bhī ho us ko
koī nahīñ dekh saktā
taheñ is ke pardoñ kī aise lachaktī chalī jaatī haiñ jaise phailī huī sat.h-e-dariyā ne
uTh kar dhundalke kī mānind pinhāñ kiyā ho fazā ko nazar se
zarā dekho chhat par laTakte haiñ fānūs apnī har ik nīm-raushan kiran se sujhāte
haiñ ik bhed kī baat kā giit jis meñ masahrī ke āġhosh kī larzisheñ hoñ
sutūnoñ ke pīchhe se āhista āhista ruktā huā aur jhijaktā huā chor saaya yahī kah rahā
hai vo aa.e vo aa.e
abhī ek pal meñ achānak yūñhī jagmagāne lagegā ye aivān yaksar
har ik chiiz kaise qarīne se rakhī huī hai
maiñ kahtī huuñ maano chalo aao mahfil sajī hai
tum aao to guuñj uTThe shahnā.ī dālān meñ aane jaane kī aahaT se hañgāma paidā
ho lekin masahrī ke āġhosh kī larzishoñ meñ tumheñ is kā ehsās
bhī hone paa.e to zimma hai merā
azal se is Dhab kī pāband hai mauj-e-betāb us ko ḳhabar bhī na hogī ki ik shāḳh-e-nāzuk
ne bebāk jhoñke se Takrā ke aaheñ bharī thiiñ
magar maiñ ye kahtā huuñ tum se agar shaad ko bhuul kar bhī kisī ne kabhī koī dhundlā sitāra
na dekhā to us par ta.ajjub nahīñ hai
azal se isī Dhab kī pāband hai shaam kī shoḳh nāgin
ye Dastī hai Daste hue kahtī jaatī hai
jaao agar tum jhijakte rahoge to
har lamha yaksāñ ravish se guzar jā.egā aur tum dekhte hī rahoge akele akele
tumheñ daa.eñ baa.eñ tumheñ sāmne kuchh dikhā.ī na degā faqat sard dīvāreñ hañstī raheñgī
magar un kā hañsnā bhī āhista āhista biite zamāne kī mānind ik duur kī baat ma.alūm hone lagegā
dhundalke meñ Duubī huī aañkh dekhegī rauzan se duur ik sitāra nazar aa rahā hai
magar chhat pe fānūs kā koī jhūlā na hogā
shikasta fatāda sutūnoñ kī mānind farsh-e-hazīñ par tumhārā vo saaya taḌaptā rahegā jise
ye tamannā thī kah duuñ tamannā kyā thī
bas ab apnī ġhamnāk bātoñ ko apne ubharte hue aur badalte hue rañg meñ tū chhupā le
maiñ ab māntā huuñ ki tū ne ravānī meñ apnī bahut duur rauzan se dhuñdle
sitāre bhī dekhe haiñ lākhoñ
maiñ ab māntā huuñ mirī aañkh meñ ek aañsū jhalaktā chalā jā rahā hai Tapaktā nahīñ hai
maiñ ab māntā huuñ mujhe daa.eñ baa.eñ mujhe sāmne kuchh dikhā.ī nahīñ de rahā hai faqat
sard dīvāreñ hañstī chalī jā rahī haiñ
maiñ ab māntā huuñ ki maiñ ne is aivān ko aaj tak apne ḳhvāboñ meñ dekhā hai lekin
vahāñ koī bhī chiiz aise qarīne se rakkhī nahīñ hai
ki jaise batāyā hai tū ne tirī ek rañgīn mahfil sajī hai
masahrī ke āġhosh kī larzishoñ kā mujhe ḳhvāb bhī ab na aa.egā maiñ apne
kānoñ se kaise sunūñgā vo shahnā.ī kī guuñj sindūr
kā surḳh naġhma jise sun ke dālān meñ aane jaane kī aahaT
se hañgāma ho jaatā hai ek pal ko
mujhe to faqat sard dīvāreñ hañstī sunā.ī diye jā rahī haiñ
main kahta hun tum se agar sham ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara na dekha
to is par tajjub nahin hai na hoga
azal se isi Dhab ki paband hai sham ki zahira be-zarar shoKH nagin
ubharte hue aur lachakte hue aur machalte hue kahti jati hai aao mujhe dekho main ne
tumhaare liye ek rangin mahfil jamai hui hai
anokha sa aiwan hai har taraf jis mein parde gire hain wahan jo bhi ho us ko
koi nahin dekh sakta
tahen is ke pardon ki aise lachakti chali jati hain jaise phaili hui sath-e-dariya ne
uTh kar dhundalke ki manind pinhan kiya ho faza ko nazar se
zara dekho chhat par laTakte hain fanus apni har ek nim-raushan kiran se sujhate
hain ek bhed ki baat ka git jis mein masahri ke aaghosh ki larzishen hon
sutunon ke pichhe se aahista aahista rukta hua aur jhijakta hua chor saya yahi kah raha
hai wo aae wo aae
abhi ek pal mein achanak yunhi jagmagane lagega ye aiwan yaksar
har ek chiz kaise qarine se rakhi hui hai
main kahti hun mano chalo aao mahfil saji hai
tum aao to gunj uTThe shahnai dalan mein aane jaane ki aahaT se hangama paida
ho lekin masahri ke aaghosh ki larzishon mein tumhein is ka ehsas
bhi hone pae to zimma hai mera
azal se is Dhab ki paband hai mauj-e-betab us ko KHabar bhi na hogi ki ek shaKH-e-nazuk
ne bebak jhonke se Takra ke aahen bhari thin
magar main ye kahta hun tum se agar shad ko bhul kar bhi kisi ne kabhi koi dhundla sitara
na dekha to us par tajjub nahin hai
azal se isi Dhab ki paband hai sham ki shoKH nagin
ye Dasti hai Daste hue kahti jati hai
jao agar tum jhijakte rahoge to
har lamha yaksan rawish se guzar jaega aur tum dekhte hi rahoge akele akele
tumhein daen baen tumhein samne kuchh dikhai na dega faqat sard diwaren hansti rahengi
magar un ka hansna bhi aahista aahista bite zamane ki manind ek dur ki baat malum hone lagega
dhundalke mein Dubi hui aankh dekhegi rauzan se dur ek sitara nazar aa raha hai
magar chhat pe fanus ka koi jhula na hoga
shikasta fatada sutunon ki manind farsh-e-hazin par tumhaara wo saya taDapta rahega jise
ye tamanna thi kah dun tamanna kya thi
bas ab apni ghamnak baaton ko apne ubharte hue aur badalte hue rang mein tu chhupa le
main ab manta hun ki tu ne rawani mein apni bahut dur rauzan se dhundle
sitare bhi dekhe hain lakhon
main ab manta hun meri aankh mein ek aansu jhalakta chala ja raha hai Tapakta nahin hai
main ab manta hun mujhe daen baen mujhe samne kuchh dikhai nahin de raha hai faqat
sard diwaren hansti chali ja rahi hain
main ab manta hun ki main ne is aiwan ko aaj tak apne KHwabon mein dekha hai lekin
wahan koi bhi chiz aise qarine se rakkhi nahin hai
ki jaise bataya hai tu ne teri ek rangin mahfil saji hai
masahri ke aaghosh ki larzishon ka mujhe KHwab bhi ab na aaega main apne
kanon se kaise sununga wo shahnai ki gunj sindur
ka surKH naghma jise sun ke dalan mein aane jaane ki aahaT
se hangama ho jata hai ek pal ko
mujhe to faqat sard diwaren hansti sunai diye ja rahi hain
- Book : Kulliyat Meeraji (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.