mere logo! main Khaali hath aaya hun
ka.ī manzar badalte haiñ
khulī āñkhoñ ke shīshe par sulagtī ḳhaak kā chehra
charāġhoñ kā dhuāñ,
khiḌkī,
koī rauzan...
havā ke naam karne ko hamāre paas kyā bāqī, bachā hai?
lahū ke par lagī saḌkeñ
kaTe sar par barastī jūtiyoñ ke shor meñ jaagā huā
be-ḳhānumāñ nām-o-nasab,
mātam-kunāñ girya-kunāñ āñkheñ,
shikasta-rū sahar kī siskiyāñ...
jaise
masīhāoñ ke ujle pairahan par zaḳhm bharne kī
rivāyat naqsh hotī hai
hamāre paas kyā baaqī bachā hai?
tilism-āvar shu.ūrī qahqahe
kirneñ!
dur-e-mahtāb se niklī huī kuchh mustarad kirneñ
ridā.eñ!
jin ke konoñ se bañdhe sikke
mirā tāvān Thahre haiñ
lahū tāvān meñ de kar
maiñ ḳhālī haath aayā huuñ
mire logo!
bhañvar kī raah se bach kar maiñ ḳhālī haath aayā huuñ
mujhe kis ne bulāyā thaa!
kisī ummīd se mansūb raste ne
jahāñ shāḳh-e-samar ab tak shajar kī kokh se bāhar nahīñ niklī
jahāñ
jīvan kī lambī āstīñ saañs letā hai
mirī aahoñ kā sannāTā!!
kai manzar badalte hain
khuli aankhon ke shishe par sulagti KHak ka chehra
charaghon ka dhuan,
khiDki,
koi rauzan
hawa ke nam karne ko hamare pas kya baqi, bacha hai?
lahu ke par lagi saDken
kaTe sar par barasti jutiyon ke shor mein jaga hua
be-KHanuman nam-o-nasab,
matam-kunan girya-kunan aankhen,
shikasta-ru sahar ki siskiyan
jaise
masihaon ke ujle pairahan par zaKHm bharne ki
riwayat naqsh hoti hai
hamare pas kya baqi bacha hai?
tilism-awar shuuri qahqahe
kirnen!
dur-e-mahtab se nikli hui kuchh mustarad kirnen
ridaen!
jin ke konon se bandhe sikke
mera tawan Thahre hain
lahu tawan mein de kar
main KHali hath aaya hun
mere logo!
bhanwar ki rah se bach kar main KHali hath aaya hun
mujhe kis ne bulaya tha!
kisi ummid se mansub raste ne
jahan shaKH-e-samar ab tak shajar ki kokh se bahar nahin nikli
jahan
jiwan ki lambi aastin sans leta hai
meri aahon ka sannaTa!!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 104)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.