pichhle pahar ki dastak
tire shahr kī sard galiyoñ kī aahaT
mire ḳhuun meñ sarsarā.ī
maiñ chauñkā
yahāñ kaun hai
maiñ pukārā magar
duur ḳhālī saḌak par kahīñ
raat ke Dūbte pahar kī ḳhāmushī chal paḌī
rat-jagoñ kī thakāvaT meñ Duubī huī
aañkh se ḳhvāb niklā koī
laḌkhaḌātā huā
raat ke sard āñgan meñ girtā huā
ḳhālī shāḳhoñ meñ aTke hue
chāñd kī aañkh se ek aañsū girā
aur siine meñ gum ho gayā
dhuñd kī narm poreñ
masāmoñ meñ chalne lagīñ
do taraf īstāda daraḳhtoñ ke nīche
bahe āñsuoñ kī mahak meñ mujhe
niiñd aane lagī
tere shahr ki sard galiyon ki aahaT
mere KHun mein sarsarai
main chaunka
yahan kaun hai
main pukara magar
dur KHali saDak par kahin
raat ke Dubte pahar ki KHamushi chal paDi
rat-jagon ki thakawaT mein Dubi hui
aankh se KHwab nikla koi
laDkhaData hua
raat ke sard aangan mein girta hua
KHali shaKHon mein aTke hue
chand ki aankh se ek aansu gira
aur sine mein gum ho gaya
dhund ki narm poren
masamon mein chalne lagin
do taraf istada daraKHton ke niche
bahe aansuon ki mahak mein mujhe
nind aane lagi
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 97)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.