shahr se bahar nikalte raste
sochtā huuñ maiñ
tumhāre zer-e-lab harf-e-suḳhan meñ
koī afsāna hai muzmar yā haqīqat yā fareb-e-puḳhta-kārāñ
maiñ nazar rakhtā huuñ tum par
aur tumhārī aañkh hai paiham ta.āqub meñ kisī ik ajnabī ke
ajnabī jo ḳhud hirāsāñ aur pareshāñ-hāl hai
dūsrī jānib saḌak par der se ik aur shaḳhs
jhuuT ko sach kah ke jo elaan kartā phir rahā hai
dil hī dil meñ Dar rahā hai
uḌte jaate haiñ sabhī chehroñ ke rañg
gaThriyāñ apnī sameTe
shahr se bāhar nikalte rāstoñ par har koī hai gāmzan
is be-e'tibārī āgahī ke darmiyāñ
ik asā-bardār kuchh kahtā huā
jis kā ik ik lafz paivasta hai
yuuñ ik dūsre se
jis tarah nazdīk tar aate hue qadmoñ kī chaap
sochta hun main
tumhaare zer-e-lab harf-e-suKHan mein
koi afsana hai muzmar ya haqiqat ya fareb-e-puKHta-karan
main nazar rakhta hun tum par
aur tumhaari aankh hai paiham taaqub mein kisi ek ajnabi ke
ajnabi jo KHud hirasan aur pareshan-haal hai
dusri jaanib saDak par der se ek aur shaKHs
jhuT ko sach kah ke jo elan karta phir raha hai
dil hi dil mein Dar raha hai
uDte jate hain sabhi chehron ke rang
gaThriyan apni sameTe
shahr se bahar nikalte raston par har koi hai gamzan
is be-e'tibari aagahi ke darmiyan
ek asa-bardar kuchh kahta hua
jis ka ek ek lafz paiwasta hai
yun ek dusre se
jis tarah nazdik tar aate hue qadmon ki chap
- Book : pushtara (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.