shikast-e-ehsas
Interesting Fact
(ایک شام اپنے ایک دوست کو اداس دیکھ کر)
dost ai dost mujhe itnā batā de to sahī
aaj kī shaam ye chehre pe udāsī kaisī
kaun sī yaad chalī aa.ī tujhe bahkāne
kaun sā zaḳhm mahak uTThā hai yuuñ taḌpāne
shabnamī soch ne vo kaun sī sāzish kar dī
surma.ī fikr ne vo kaun sī karvaT badlī
maiñ ne maanā ki laboñ par vo damak hī na rahī
maiñ ne maanā ki nigāhoñ meñ chamak hī na rahī
maiñ ne maanā ki umangoñ kī haiñ āñkheñ hairāñ
maiñ ne maanā ki ḳhamoshī hai umīdoñ kī zabāñ
sach hai ye bhī ki ḳhayālāt ne dam toḌ diye
ye bhī sach hai ki tamannāoñ ne muñh pher liye
lekin itnā to batā kal bhī ye tanhā.ī thī
kal bhī ehsās pe ashkoñ kī ghaTā chhā.ī thī
kal bhī hoñToñ pe musallat thī udāsī kī lakīr
kal bhī kirnoñ ko taraste rahe ḳhvāboñ ke safīr
phir bhī ham hañste rahe hañste the hañste rahe
chand lamhoñ ke liye phir bhī chahakte hī rahe
aaj kī shaam to ai dost hai phir shām-e-ḳhushī
aaj kī shaam ye chehre pe udāsī kaisī
dost ai dost mujhe itna bata de to sahi
aaj ki sham ye chehre pe udasi kaisi
kaun si yaad chali aai tujhe bahkane
kaun sa zaKHm mahak uTTha hai yun taDpane
shabnami soch ne wo kaun si sazish kar di
surmai fikr ne wo kaun si karwaT badli
main ne mana ki labon par wo damak hi na rahi
main ne mana ki nigahon mein chamak hi na rahi
main ne mana ki umangon ki hain aankhen hairan
main ne mana ki KHamoshi hai umidon ki zaban
sach hai ye bhi ki KHayalat ne dam toD diye
ye bhi sach hai ki tamannaon ne munh pher liye
lekin itna to bata kal bhi ye tanhai thi
kal bhi ehsas pe ashkon ki ghaTa chhai thi
kal bhi honTon pe musallat thi udasi ki lakir
kal bhi kirnon ko taraste rahe KHwabon ke safir
phir bhi hum hanste rahe hanste the hanste rahe
chand lamhon ke liye phir bhi chahakte hi rahe
aaj ki sham to ai dost hai phir sham-e-KHushi
aaj ki sham ye chehre pe udasi kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.