shikast
ghane daraḳht ke saa.e meñ kaun baiThā hai
tasavvurāt kī sau mish.aleñ jalā.e hue
riyāz-o-fikr kī lahreñ javān chehre par
siyāh zulf mashiyyat kā dil churā.e hue
ye iztirāb ki andar kā dil dhaḌaktā hai
ye irti.āsh ki kohsār thartharā.e hue
ye aadmī na kahīñ zabt-e-zindagī sah kar
mujhī se chhīn le mere kañval jalā.e hue
kaho kaho kisī rañgīn tītarī se kaho
ki apne hoñToñ pe naġhmoñ kā baar uThā.e hue
zamīñ kī samt ravāna ho bijliyoñ kī tarah
jalā ke raakh hī kar de mahal banā.e hue
vo menkā ne fazāoñ meñ raag chheḌā hai
vo ghuñgrūoñ kī sadā.eñ zamīñ uThā.e hue
rishī kī āñkhoñ meñ us rāgnī se diip chale
laboñ se khīñch liyā ras nazar milā.e hue
sunā hai aaj bhī andar kā taḳht baaqī hai
vahī haiñ rañg-mahal ab bhī jagmagā.e hue
magar abhī mire māthe pe nuur raqsāñ hai
mirī shikast se parvardigār larzāñ hai
ghane daraKHt ke sae mein kaun baiTha hai
tasawwuraat ki sau mishalen jalae hue
riyaz-o-fikr ki lahren jawan chehre par
siyah zulf mashiyyat ka dil churae hue
ye iztirab ki andar ka dil dhaDakta hai
ye irtiash ki kohsar thartharae hue
ye aadmi na kahin zabt-e-zindagi sah kar
mujhi se chhin le mere kanwal jalae hue
kaho kaho kisi rangin titari se kaho
ki apne honTon pe naghmon ka bar uThae hue
zamin ki samt rawana ho bijliyon ki tarah
jala ke rakh hi kar de mahal banae hue
wo meinka ne fazaon mein rag chheDa hai
wo ghungruon ki sadaen zamin uThae hue
rishi ki aankhon mein us ragni se dip chale
labon se khinch liya ras nazar milae hue
suna hai aaj bhi andar ka taKHt baqi hai
wahi hain rang-mahal ab bhi jagmagae hue
magar abhi mere mathe pe nur raqsan hai
meri shikast se parwardigar larzan hai
- Book : Aina Khane (Pg. 100)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.