suraj ki tapish pani ki buKhaaraat mein tabdil karke faza mein uDa deti
suraj ki tapish pani ki buKhaaraat mein tabdil karke faza mein uDa deti
Javed Nadeem
MORE BYJaved Nadeem
sūraj kī tapish paanī ko buḳhārāt meñ tabdīl karke fazā meñ uḌā detī
māhaul kī burūdat jab shiddat iḳhtiyār kar letī hai to zamīn barf ke
bojh tale kasmasāne lagtī hai
maiñ tum se ye nahīñ kahūñgā
tum ne aisā kyoñ kiyā
tum aisā kyoñ karte ho
tumheñ aisā nahīñ karnā chāhiye
zindagī ke haqā.eq se farār kabhī sukūn nahīñ de saktā
haqīqī surūr unheñ qubūl kar lene meñ hai
agar tum samajhne vaale ho samajh jāoge
tum
Thahrā huā paanī ho
maiñ tumheñ bahāv meñ dekhnā chāhtā huuñ
tumhārī ravānī baḌī dilkash hogī
agar tum bah sake
zindagī ke masā.il
tumhārī zaat kī sat.h par uge peḌ paude haiñ
peḌ sat.h se qad-āvar nazar aate haiñ
magar
bulandī se chhoTe
aur ḳhūbsūrat bhī
tum apnī zaat meñ buland ho jaao
zindagī ke masā.il chhoTe ho jā.eñge
suraj ki tapish pani ko buKHaraat mein tabdil karke faza mein uDa deti
mahaul ki burudat jab shiddat iKHtiyar kar leti hai to zamin barf ke
bojh tale kasmasane lagti hai
main tum se ye nahin kahunga
tum ne aisa kyon kiya
tum aisa kyon karte ho
tumhein aisa nahin karna chahiye
zindagi ke haqaeq se farar kabhi sukun nahin de sakta
haqiqi surur unhen qubul kar lene mein hai
agar tum samajhne wale ho samajh jaoge
tum
Thahra hua pani ho
main tumhein bahaw mein dekhna chahta hun
tumhaari rawani baDi dilkash hogi
agar tum bah sake
zindagi ke masail
tumhaari zat ki sath par uge peD paude hain
peD sath se qad-awar nazar aate hain
magar
bulandi se chhoTe
aur KHubsurat bhi
tum apni zat mein buland ho jao
zindagi ke masail chhoTe ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.