talabgar mard tha
raat kī zulf-e-siyah aur sañvartī hī rahī
raat kī zulf-e-siyah aur sañvartī hī rahī
chāñd kī bikhrī huī sard shuāoñ se alag
aur khamboñ kī sulagtī huī āñkhoñ se alag
ik nazar thī jo ḳhalāoñ meñ bhaTaktī hī rahī
silvaTeñ soch kī gahrī huiiñ gahrī ho kar
mere māhaul pe chhā.ī ga.iiñ chhātī hī ga.iiñ
merī be-tāb nazar charḳh se Takrā hī ga.ī
aur Takrā.ī to phir charḳh kī ra.anā.ī ga.ī
gardisheñ chāñd sitāroñ kī nazar aane lagīñ
gardisheñ tez huīñ, tez huīñ, tez huiiñ
aur phir tez, bahut tez, bahut tez huiiñ
jaise ye gardisheñ karte hue tāre, ye chāñd
kurra-e-arz se yak-bārgī Takrā.eñge
aur phir gardisheñ kartā huā har ik taarā
az-sar-e-nau kura-e-arz banā hī legā
aur phir gardisheñ kartā huā ye zard sā chāñd
ik ufuq apne liye aur sajā hī legā
kurra-e-arz jahāñ maut na kāhish hogī
ik ufuq, jis meñ tapish aur na sozish hogī
tez-tar hotī ga.iiñ gardisheñ sayyāroñ kī
nāchtā hī rahā mehvar pe vo piilā mahtāb
aur har samt isī gardish-e-paiham kā ḳharosh
aur phir rah na gayā raqs ke andāz meñ josh
ek parvāna girā sham-e-fasurda ke qarīb
ek taare ne kahā TuuT ke, lo maiñ to chalā
aur phir gardisheñ kartā huā
aur phir maiñ thā vahī martā sulagtā māhaul
raqs karte hue sayyāroñ kī sa.i-e-nākām
raat kī zulf-e-siyah aur sañvartī hī rahī
raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
chand ki bikhri hui sard shuaon se alag
aur khambon ki sulagti hui aankhon se alag
ek nazar thi jo KHalaon mein bhaTakti hi rahi
silwaTen soch ki gahri huin gahri ho kar
mere mahaul pe chhai gain chhati hi gain
meri be-tab nazar charKH se Takra hi gai
aur Takrai to phir charKH ki ranai gai
gardishen chand sitaron ki nazar aane lagin
gardishen tez huin, tez huin, tez huin
aur phir tez, bahut tez, bahut tez huin
jaise ye gardishen karte hue tare, ye chand
kurra-e-arz se yak-bargi Takraenge
aur phir gardishen karta hua har ek tara
az-sar-e-nau kura-e-arz bana hi lega
aur phir gardishen karta hua ye zard sa chand
ek ufuq apne liye aur saja hi lega
kurra-e-arz jahan maut na kahish hogi
ek ufuq, jis mein tapish aur na sozish hogi
tez-tar hoti gain gardishen sayyaron ki
nachta hi raha mehwar pe wo pila mahtab
aur har samt isi gardish-e-paiham ka KHarosh
aur phir rah na gaya raqs ke andaz mein josh
ek parwana gira sham-e-fasurda ke qarib
ek tare ne kaha TuT ke, lo main to chala
aur phir gardishen karta hua
aur phir main tha wahi marta sulagta mahaul
raqs karte hue sayyaron ki sai-e-nakaam
raat ki zulf-e-siyah aur sanwarti hi rahi
- Book : Naya Saaz Naya Andaz (Pg. 196)
- Author : Nazish Pratabgarhi
- Publication : Utaar Pradesh Urdu Academy ( 2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.