jaan-e-'sahba' sach kaho paiham sahaare yaad hain
wo nigah-e-awwalin ke kya sharare yaad hain
yaad hain wo dard ki baDhti hui betabiyan
sard aahen KHushk-lab aansu ke dhaare yaad hain
wo mai-e-ulfat pila dena nigah-e-mast se
wada-e-rangin ke wo alfaz pyare yaad hain
nau-ba-nau saz-e-mohabbat ki wo naghma-sanjiyan
wo tarannum wo tabassum wo nazare yaad hain
yaad hain wo bazm-e-ishrat ki sukun-samaniyan
shab ki KHamoshi wo dariya ke kinare yaad hain
wo faza-e-ruh-parwar wo bahaar-e-jaan-faza
wasl ki shab ke tumhein wo chand tare yaad hain
meri jaanib wo bhari mahfil mein KHamoshi ke sath
apni chashm-e-mast ke rangin ishaare yaad hain
phir zara dhime suron mein gungunana sher ka
phul se jhaDte hue gardun ke tare yaad hain
aadhi aadhi raat tak sham-e-mohabbat ki bahaar
subh ki tanwir mein jalwe tumhaare yaad hain
yaad hain 'sahba' shabab-o-sher ki ranginiyan
han hadis-e-ishq ke alfaz sare yaad hain
aaj bhi main sun raha hun naghma-ha-e-jaan-faza
dauDti hai saz-e-hasti mein teri rangin nawa